is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

saval 6

bible mein maseeha ke baare mein pehale se kya bataya gaya tha?

bhavishyavani

“hey betlehem eprata, . . . tujhmein se ek aisa shakhs aayega jise main israel ka shaasak thehraunga.”

mika 5:2

kaise poori hui

“yeeshu ka janm yahoodiya ke betlehem mein ho chuka tha. un dinon herodes yahoodiya ka raja tha. yeeshu ke janm ke kuch samay baad, dekho! poorab se kuch jyotishi yarooshalem aaye.”

matti 2:1

bhavishyavani

“woh meri poshak aapas mein baantte hain, mere kapde ke liye chitthiyaan daalte hain.”

bhajan 22:18

kaise poori hui

“jab sainikon ne yeeshu ko kaath par thonk diya, to unhonne uska odhna liya aur uske chaar tukde karke aapas mein baant liye. . . magar kurte mein koi jod nahin tha balki yah oopar se neeche tak buna hua tha. isliye unhonne ek-doosre se kaha, ‘hum ise nahin faadeinge balki chitthiyaan daalkar tay kareinge ki yah kiska hoga.’”

yuhanna 19:23, 24

bhavishyavani

“woh uski saari haddiyon ki hifazat karta hai, uski ek bhi haddi nahin todi gayi.”

bhajan 34:20

kaise poori hui

“jab woh yeeshu ke paas aaye to unhonne dekha ki woh mar chuka hai isliye unhonne uski taangein nahin todin.”

yuhanna 19:33

bhavishyavani

“hamare apradhon ke liye use bheda gaya.”

yashayah 53:5

kaise poori hui

“sainikon mein se ek ne apna bhaala uski pasliyon mein bhonka aur fauran khoon aur paani beh nikala.”

yuhanna 19:34

bhavishyavani

‘unhonne mujhe mazdoori mein chaandi ke 30 tukde diye.’

jakaryah 11:12, 13

kaise poori hui

“fir un baarahon mein se ek, jo yahooda iskariyoti kehlata tha, pradhan yaajkon ke paas gaya aur usne unse kaha, ‘agar main use tumhare haathon pakadva doon, to tum mujhe kya doge?’ unhonne kaha ki woh use chaandi ke 30 sikke deinge.”

matti 26:14, 15; 27:5