kurinthiyon ke naam pehali chitthi 15:1-58

  • maseeh zinda kiya gaya (1-11)

  • mare huon ke zinda hone ki shiksha vishvas ki buniyad (12-19)

  • maseeh ka zinda hona yakeen dilata hai (20-34)

  • haad-maans ka shareer, adrishya shareer (35-49)

  • amarta aur anashvarta (50-57)

  • prabhu ki seva mein hamesha bahot kaam (58)

15  bhaaiyo, ab main tumhein vahi khushkhabri yaad dila raha hoon jo mainne tumhein sunayi thi+ aur jise tumne sweekar kiya tha aur jiske paksh mein tum ab tak khade bhi ho.  is khushkhabri se tumhara uddhaar hoga basharte tum is par apni pakad mazboot banaye rakho, varna tumhara vishvasi banna bekar hoga.  isliye ki jo baatein mujhe sikhayi gayi thi aur jo mainne tum tak pahunchayi hain, unmein sabse zaroori yah hai ki jaisa shastra mein likha hai, maseeh hamare paapon ke liye mara+  aur use dafnaya gaya.+ aur jaisa shastra mein likha tha+ use teesre din+ zinda kiya gaya.+  woh kaifa* ke saamne aur fir baarahon ke saamne prakat hua.+  uske baad woh ek hi vakt par 500 se zyada bhaaiyon ke saamne prakat hua,+ jinmein se zyadatar aaj bhi hamare saath hain, magar kuch maut ki nind so gaye hain.  iske baad woh yakub ke saamne prakat hua,+ fir sabhi preshiton ke saamne.+  aakhir mein woh mere saamne bhi prakat hua,+ jabki main vakt se pehale paida huye bachche jaisa tha.  main preshiton mein sabse chhota hoon, yahaan tak ki preshit kehlane ke bhi laayak nahin hoon kyonki mainne parmeshvar ki mandli par zulm kiya.+ 10  magar aaj main jo hoon woh parmeshvar ki maha-kripa se hoon. aur mere liye uski maha-kripa bekar saabit nahin hui kyonki mainne baakiyon se zyada mehnat ki hai, fir bhi yah meri vajah se nahin, balki parmeshvar ki us maha-kripa ki vajah se hua hai jo mujh par hai. 11  lekin chahe meri baat karo ya unki, hum isi baat ka prachar kar rahe hain aur tumne bhi isi par yakeen kiya hai. 12  jab maseeh ke baare mein yahi prachar kiya jaa raha hai ki use mare huon mein se zinda kiya gaya hai,+ to tummein se kuch yah kaise kehte hain ki mare huon ko zinda nahin kiya jaayega? 13  agar mare huon ko zinda nahin kiya jaayega, to iska matlab maseeh ko bhi mare huon mein se zinda nahin kiya gaya hai. 14  agar maseeh zinda nahin kiya gaya, to hamara prachar karna vaakai bekar hai aur tumhara vishvas bhi bekar hai. 15  itna hi nahin, hum parmeshvar ke baare mein jhoothi gavahi de rahe hain+ ki usne maseeh ko zinda kiya hai.+ kyonki agar yah baat sach hai ki mare huon ko zinda nahin kiya jaayega, to iska matlab parmeshvar ne maseeh ko bhi zinda nahin kiya hai. 16  isliye ki agar mare huye zinda nahin kiye jaayenge, to maseeh ko bhi nahin uthaya gaya. 17  aur agar maseeh ko zinda nahin kiya gaya, to tumhara vishvas bekar hai aur tum ab bhi apne paapon mein pade huye ho.+ 18  aur maseeh ke jo chele maut ki nind so gaye hain, woh bhi poori tarah mit gaye.+ 19  agar hamne sirf isi zindagi ke liye maseeh se aasha rakhi hai, fir to hum sabse zyada taras khaane laayak hain. 20  magar sach to yah hai ki maseeh ko mare huon mein se zinda kiya gaya hai aur jo maut ki nind so gaye hain unmein woh pehala fal hai.+ 21  ek insan ke zariye maut aayi,+ isliye ek insan ke zariye hi mare huye zinda kiye jaayenge.+ 22  theek jaise aadam ki vajah se sabhi mar rahe hain,+ vaise hi maseeh ki badaulat sabhi zinda kiye jaayenge.+ 23  magar har koi ek sahi kram mein: pehale maseeh jo pehala fal hai.+ iske baad woh jo maseeh ke hain, uski maujoodgi ke dauran zinda kiye jaayenge.+ 24  fir ant mein jab woh sabhi sarkaron, adhikaron aur ko mita chuka hoga, tab woh apne parmeshvar aur pita ke haath mein raaj saunp dega.+ 25  isliye ki uska tab tak raja bankar raaj karna zaroori hai jab tak ki parmeshvar saare dushmanon ko uske pairon tale nahin kar deta.+ 26  sabse aakhiri dushman jo mita diya jaayega, woh hai maut.+ 27  parmeshvar ne “sabkuch uske pairon tale kar diya hai.”+ magar jab woh kehta hai, ‘sabkuch pairon tale kar diya gaya hai,’+ to zahir hai ki jis parmeshvar ne sabkuch uske adheen kar diya woh khud ismein shaamil nahin hai.+ 28  magar jab sabkuch bete ke adheen kar diya jaayega, tab beta bhi apne aapko parmeshvar ke adheen kar dega jisne sabkuch uske adheen kiya tha+ taaki parmeshvar hi sabke liye sabkuch ho.+ 29  to fir unka kya hoga jo maut ke liye baptisma lete hain?+ agar mare huye zinda hi nahin kiye jaayenge, to woh maut ke liye baptisma hi kyon le rahe hain? 30  hum bhi kyon har ghadi* jokhim uthate hain?+ 31  bhaaiyo, jitna yah sach hai ki main hamare prabhu maseeh yeeshu mein tum par garv karta hoon, utna hi yah bhi sach hai ki main har din maut ka saamna karta hoon. 32  agar baaki insanon ki tarah* main bhi ifisus+ mein jangli jaanvaron se lada, to mujhe kya faayda? agar mare huon ko zinda nahin kiya jaayega to “aao hum khaayen-peeyen kyonki kal to marna hi hai.”+ 33  dhokha na khaao. buri sangati achhi aadatein* bigaad deti hai.+ 34  nek kaam karne ke liye hosh mein aa jaao aur paap karne mein mat lage raho, kyonki kuch log parmeshvar ke baare mein koi gyaan nahin rakhte. main tumhein sharm dilane ke liye yah kah raha hoon. 35  magar shaayad koi kahe, “mare huon ko kaise zinda kiya jaayega? woh kis tarah ke shareer mein zinda honge?”+ 36  are moorkh insan! tu jo bota hai woh jab tak pehale mar na jaaye, jeevan nahin paata. 37  tu jo bota hai woh uga hua paudha nahin balki ek beej hota hai, fir chahe woh gehoon ka beej ho ya koi aur beej. 38  magar parmeshvar ko jaisa sahi lagta hai, woh us beej ko badhata hai aur jab woh paudha banta hai to doosre paudhon se alag hota hai. 39  sab shareer ek jaise nahin hote. insanon ka shareer alag hota hai, jaanvaron ka shareer alag. pakshiyon ka shareer alag hota hai aur machhliyon ka shareer alag. 40  jo swarg mein hain unka shareer dharti par rehnevalon ke shareer se alag hota hai.+ jo swarg mein hain unke shareer ka tej ek kism ka hai aur dharti par rehnevalon ke shareer ka tej doosre kism ka. 41  sooraj ka tej ek kism ka hai aur chaand ka tej doosre kism ka+ aur taaron ka tej aur kism ka. darasal, ek taare ka tej doosre taare ke tej se alag hota hai. 42  mare huon ko bhi isi tarah zinda kiya jaata hai. shareer nashvar dasha mein boya jaata hai aur anashvar dasha mein zinda kiya jaata hai.+ 43  ise anadar ki dasha mein boya jaata hai aur mahima ki dasha mein zinda kiya jaata hai.+ ise kamzor dasha mein boya jaata hai aur shaktishali dasha mein zinda kiya jaata hai.+ 44  haad-maans ka shareer boya jaata hai aur adrishya shareer dekar zinda kiya jaata hai. jaise haad-maans ka shareer hota hai, vaise hi adrishya shareer bhi hota hai. 45  aisa likha bhi hai, “pehala insan aadam, jeeta-jaagta insan bana.”+ magar aakhiri aadam jeevan denevala adrishya prani bana.+ 46  magar pehala shareer adrishya nahin hai. pehale haad-maans ka shareer hai, fir adrishya shareer hai. 47  pehala aadmi dharti se hai aur mitti se banaya gaya tha,+ doosra swarg se hai.+ 48  jaisa woh hai jo mitti se banaya gaya hai, vaise hi doosre hain jo mitti se banaye gaye hain. aur jaisa woh hai jo swarg se hai, vaise hi doosre bhi hain jo swarg se hain.+ 49  aur theek jaise hum uski chhavi mein hain jo mitti se bana tha,+ vaise hi hum uski chhavi mein bhi honge jo swarg se hai.+ 50  magar bhaaiyo, main yah kehta hoon ki maans aur khoon parmeshvar ke raaj ke vaaris nahin ho sakte. aur nashvarta, anashvarta ki vaaris nahin ho sakti. 51  dekho! main tumhein ek pavitra rehasya batata hoon: hum sabhi maut ki nind nahin soenge, magar hum sabhi badal jaayenge,+ 52  pal-bhar mein palak jhapakte hi, aakhiri turhi foonkne ke dauran aisa hoga.+ turhi foonki jaayegi aur mare huye anashvar dasha mein zinda kiye jaayenge aur hum badal jaayenge. 53  isliye ki yah shareer jo nashvar hai ise anashvarta ko pehanna hai+ aur yah shareer jo maranhar hai ise amarta ko pehanna hai.+ 54  jab yah jo nashvar hai, anashvarta ko pehn leta hai aur yah jo maranhar hai amarta ko pehn leta hai, tab yah baat poori hogi jo likhi hai, “maut ko hamesha ke liye nigal liya gaya hai.”+ 55  “hey maut, teri jeet kahaan hai? hey maut, tera dank kahaan hai?”+ 56  paap woh dank hai jo maut deta hai+ aur paap ko taakat denevala, kaanoon hai.*+ 57  magar parmeshvar ka dhanyavad ho, jo hamare prabhu yeeshu maseeh ke zariye hamein jeet dilata hai!+ 58  isliye mere pyare bhaaiyo, atal bano,+ date raho aur prabhu ki seva mein hamesha tumhare paas bahot kaam ho,+ kyonki tum jaante ho ki prabhu mein tumhari kadi mehnat bekar nahin hai.+

kai footnote

patras bhi kehlata tha.
ya “har samay.”
ya shaayad, “insani nazariye se.”
ya “achhe usoolon ko.”
ya “aur kaanoon, paap ko taakat deta hai.”