ifisiyon ke naam chitthi 1:1-23
1 main paulus, jo parmeshvar ki marzee se maseeh yeeshu ka preshit hoon, ifisus+ ke pavitra janon ko likh raha hoon, jo maseeh yeeshu ke saath ekta mein hain aur vishvasyogya hain:
2 hamare pita yaani parmeshvar ki taraf se aur prabhu yeeshu maseeh ki taraf se tumhein maha-kripa aur shaanti mile.
3 hamare prabhu yeeshu maseeh ke parmeshvar aur pita ki taareef ho. kyonki usne hamein maseeh yeeshu ke saath ekta mein hone ki vajah se swarg mein har tarah ki aasheesh di hai.+
4 usne duniya ki shurooat se pehale hi hamein uske saath* ekta mein rehne ke liye chun liya tha taaki hum parmeshvar se pyar karein aur uske saamne pavitra aur bedag hon.+
5 jaisa use achha laga usne apni marzee ke mutabik+ pehale se tay kiya+ ki woh yeeshu maseeh ke zariye hamein apne beton ke naate god lega+
6 taaki uski shaandar maha-kripa ki taareef ho,+ jo usne meharban hokar apne pyare bete+ ke zariye hum par ki hai.
7 usi bete ke khoon ke zariye firauti dekar hamein chhudaya gaya hai.+ haan, usi ke zariye parmeshvar ki bharpoor maha-kripa hum par hui aur hamein gunahon ki maafi di gayi.+
8 usne saari buddhi aur samajh dekar hum par bahotayat mein maha-kripa ki hai
9 yaani apni marzee ke baare mein pavitra rehasya hum par zahir kiya.+ usne yah rehasya apni marzee ke mutabik khud thehraya tha
10 ki tay vakt ke poora hone par woh ek intazam ki shurooat kare* taaki sabkuch fir se maseeh mein ikattha kare, chahe swarg ki cheezen hon ya dharti ki.+ haan, maseeh mein ikattha kare
11 jiske saath hum ekta mein hain aur vaaris bhi thehraye gaye hain.+ kyonki parmeshvar ne apne maksad ke mutabik pehale se tay kiya tha ki woh hamein chunega, haan usi parmeshvar ne jo apni marzee ke mutabik sab baaton ko anjam deta hai.
12 parmeshvar ne hamein isliye chuna taaki hum jo maseeh mein aasha rakhnevalon mein sabse pehale hain, hamare zariye parmeshvar ka gungan aur uski mahima ho.
13 tumne bhi jab apne uddhaar ki khushkhabri yaani sachchai ka vachan suna, to maseeh par aasha rakhi. jab tumne yakeen kiya, to maseeh ke zariye tum par us pavitra shakti ki muhar lagayi gayi+ jiska vaada kiya gaya tha.
14 yah pavitra shakti hamein apni virasat milne se pehale ek bayane* ke taur par di gayi hai+ taaki parmeshvar apne logon*+ ko firauti ke zariye chhudaye+ jisse uski mahima aur badai ho.
15 iseeliye jab se mainne suna ki prabhu yeeshu par tumhein kitna vishvas hai aur sabhi pavitra janon se tum kitna pyar karte ho,
16 tab se mainne tumhare liye prarthna mein dhanyavad dena nahin chhoda. main hamesha tumhare liye prarthna karta hoon
17 ki hamare prabhu yeeshu maseeh ka parmeshvar, woh pita jo mahima se bharpoor hai, tumhein un baaton ko samajhne ki buddhi de jinhein woh tum par prakat karta hai taaki tumhare paas uske baare mein sahi gyaan ho.+
18 usne tumhare man ki aankhein khol di hain taaki tum samajh sako ki usne tumhein kaisi aasha dene ke liye bulaya hai, woh shaandar daulat kya hai jo usne pavitra logon ko virasat mein dene ke liye rakhi hai+
19 aur yah bhi samajh sako ki uski bejod shakti hum vishvasiyon ke maamle mein kitne zabardast tareeke se kaam karti hai.+ parmeshvar ki mahashakti kitni bejod hai
20 yah usne maseeh ke maamle mein bhi dikhaya, jab usne maseeh ko mare huon mein se zinda kiya aur swarg mein apne daayen haath par bithaya,+
21 use har sarkar, adhikar, taakat, hukoomat aur har us naam se kahin uncha uthaya+ jo na sirf is zamane mein balki aanevale zamane* mein diya jaayega.
22 itna hi nahin, parmeshvar ne sabkuch uske pairon tale kar diya+ aur use mandli se judi sab baaton ka mukhiya thehraya.+
23 mandli maseeh ka shareer hai,+ jismein woh poori tarah samaya hua hai aur vahi hai jo sab baaton mein sabkuch poora karta hai.
kai footnote
^ yaani maseeh ke saath.
^ ya “aisa prashasan shuroo kare.”
^ ya “nishani; pakke saboot.”
^ shaa., “apni jaageer.”