luka ke mutabik khushkhabri 12:1-59

  • fareesiyon ka khameer (1-3)

  • parmeshvar se daro, insan se nahin (4-7)

  • maseeh ko sweekar karnevala (8-12)

  • moorkh ameer aadmi ki misal (13-21)

  • chinta karna chhod do (22-34)

    • chhota jhund (32)

  • jaagte rehna (35-40)

  • vishvasyogya aur vishvasghati prabandhak (41-48)

  • shaanti nahin, fut daalne (49-53)

  • khaas vakt ka matlab samajhna (54-56)

  • jhagde niptana (57-59)

12  is beech log hazaron ki taadad mein vahaan ikattha ho chuke the, yahaan tak ki woh ek-doosre par chadhe jaa rahe the. woh apne chelon se kehne laga, “fareesiyon ke khameer se, unke kapat se chaukanne raho.+  lekin aisi koi baat nahin jo badi saavdhani se chhipayi gayi ho aur jo saamne na laayi jaaye aur jise raaz rakha gaya ho aur jaana na jaaye.+  isliye jo kuch tum andhere mein kehte ho woh ujale mein suna jaayega aur jo tum andar ke kamron mein fusfusakar kehte ho uska ghar ki chhaton par chadhkar ailan kiya jaayega.  mere dosto,+ main tumse kehta hoon, unse mat daro jo tumhare shareer ko nasht kar sakte hain aur isse zyada kuch nahin kar sakte.+  magar main tumhein batata hoon ki tumhein kisse darna chahiye. usse daro jiske paas na sirf tumhein maar daalne ka, balki iske baad tumhein gehanna* mein feinkne ka bhi adhikar hai.+ haan main tumse kehta hoon, usi se daro.+  kya do paise* mein paanch chidiyaan nahin biktin? magar unmein se ek bhi aisi nahin jise parmeshvar bhool jaaye.*+  magar tumhare sir ka ek-ek baal tak gina hua hai.+ isliye mat daro, tum bahot-si chidiyon se kahin zyada anmol ho.+  main tumse kehta hoon, jo koi logon ke saamne mujhe sweekar karta hai,+ insan ka beta bhi parmeshvar ke swargdooton ke saamne use sweekar karega.+  magar jo koi logon ke saamne mera inkar karta hai, main bhi parmeshvar ke swargdooton ke saamne uska inkar kar doonga.+ 10  jo koi insan ke bete ke khilaf kuch kehta hai use maaf kar diya jaayega, magar jo pavitra shakti ke khilaf ninda ki baatein bolta hai use maaf nahin kiya jaayega.+ 11  jab woh tumhein janta ki sabhaon,* sarkari afsaron aur adhikariyon ke saamne le jaayen, to yah chinta mat karna ki apni safai mein tum kya kahoge aur kaise kahoge.+ 12  isliye ki pavitra shakti usi ghadi tumhein woh saari baatein sikha degi jo tumhein bolni chahiye.”+ 13  tab bheed mein se kisi ne usse kaha, “guru, mere bhaai se bol ki woh hamari virasat ka batvara kar de.” 14  yeeshu ne usse kaha, “kisne mujhe tum logon ka nyayi ya batvara karnevala thehraya hai?” 15  fir usne bheed se kaha, “tum apni aankhein khuli rakho aur har tarah ke laalach se khud ko bachaye rakho,+ kyonki chahe insan ke paas bahot kuch ho, to bhi uski daulat use zindagi nahin de sakti.”+ 16  fir usne yah misal di, “kisi daulatmand aadmi ki zameen se bahot upaj hui. 17  woh man-hi-man sochne laga, ‘mere paas apni fasal rakhne ke liye aur jagah nahin hai, isliye ab kya karna theek rahega?’ 18  fir usne kaha, ‘ek kaam karta hoon,+ apne godam tudvakar aur bhi bade godam banvata hoon. fir vahin apna saara anaj aur saari cheezen jama karoonga. 19  aur khud se kahoonga, “tere paas kai saalon ke liye bahot saari achhi cheezen jama hain. ab chain se ji, khaa-pi aur mauj kar.”’ 20  magar parmeshvar ne usse kaha, ‘are moorkh, aaj raat hi teri zindagi tujhse chheen li jaayegi.* fir jo kuch toone batora hai woh kiska hoga?’+ 21  us insan ke saath bhi aisa hi hota hai, jo dhan-daulat batorne mein laga rehta hai magar parmeshvar ki nazar mein kangal hai.”+ 22  fir usne apne chelon se kaha, “isliye main tumse kehta hoon, apne jeevan ke liye chinta karna chhod do ki tum kya khaaoge, na hi apne shareer ke liye chinta karo ki tum kya pehnoge.+ 23  kyonki ek insan ka jeevan bhojan se aur uska shareer kapdon se kahin zyada anmol hai. 24  dhyan do ki kauve na to beej bote hain, na katai karte hain, na unke anaj ke bhandar hote hain, na hi godam, fir bhi parmeshvar unhein khilata hai.+ kya tumhara mol panchhiyon se badhkar nahin?+ 25  tummein aisa kaun hai jo chinta karke ek pal ke liye bhi* apni zindagi badha sake? 26  isliye agar tum itna tak nahin kar sakte, to baaki cheezon ki chinta kyon karte ho?+ 27  dhyan do ki sosan* ke fool kaise ugte hain. woh na to kadi mazdoori karte hain na hi soot kaatte hain. magar main tumse kehta hoon ki sulaiman bhi jab apne poore vaibhav mein tha, to inmein se kisi ek ki tarah bhi saj-dhaj na saka.+ 28  isliye agar parmeshvar maidan mein ugnevale in paudhon ko, jo aaj hain aur kal aag* mein jhonk diye jaayenge, aise shaandar kapde pehanta hai, to are kam vishvas rakhnevalo! woh tumhein isse bhi badhkar kyon na pehnayega! 29  isliye yah chinta karna chhod do ki tum kya khaaoge aur kya peeoge. tum in baaton ki had-se-zyada chinta mat karo.+ 30  kyonki inhin sab cheezon ke peechhe duniya ke log din-raat bhaag rahe hain. magar tumhara pita jaanta hai ki tumhein in cheezon ki zaroorat hai.+ 31  iske bajay, uske raaj ki khoj mein lage raho aur ye cheezen tumhein de di jaayengi.+ 32  hey chhote jhund,+ mat dar, kyonki tumhare pita ne tumhein raaj dena manzoor kiya hai.+ 33  isliye apni cheezen bechkar gareebon ko daan* kar do.+ apne liye paise ki aisi thailiyaan banao jo kabhi purani nahin hotin, yaani swarg mein aisa khazana jama karo jo kabhi khatm nahin hota,+ jahaan na koi chor paas fatakta hai, na koi keeda use khaata hai. 34  kyonki jahaan tumhara dhan hoga, vahin tumhara man hoga. 35  tum kamar kaskar taiyar raho+ aur tumhare deepak jalte rahein.+ 36  un aadmiyon ki tarah bano jo apne maalik ka intazar karte hain+ ki woh shaadi se kab lautega+ taaki jab woh aakaar darvaza khatkhataye, to fauran uske liye khol sakein. 37  sukhi honge woh daas jinka maalik aane par unhein jaaga hua paayega! main tumse sach kehta hoon, woh khud unki seva karne ke liye apni kamar kasega aur kahega ki woh khaane ke liye baithein* aur paas khade hokar unki seva karega. 38  agar woh doosre peher* mein, yahaan tak ki teesre peher* mein aakaar unhein jaaga hua paayega, to unke liye khushi ki baat hai! 39  lekin yah jaan lo ki agar ghar ke maalik ko pata hota ki chor kis vakt aanevala hai, to woh jaagta rehta aur apne ghar mein seindh nahin lagne deta.+ 40  tum bhi taiyar raho kyonki jis ghadi tumne socha bhi na hoga, usi ghadi insan ka beta aa raha hai.”+ 41  tab patras ne kaha, “prabhu, tu yah misal sirf hamare liye bata raha hai ya sabke liye?” 42  prabhu ne kaha, “asal mein woh vishvasyogya aur buddhiman* prabandhak* kaun hai, jise uska maalik apne ghar ke sevkon ke dal* par thehrayega ki unhein sahi vakt par sahi maatra mein khaana deta rahe?+ 43  sukhi hoga woh daas agar uska maalik aane par use aisa hi karta paaye! 44  main tumse sach kehta hoon, woh use apni saari sampatti par adhikar dega. 45  lekin agar kabhi woh daas apne dil mein yah soche, ‘mera maalik aane mein der kar raha hai’ aur daas-daasiyon ko peetne lage aur khaa-peekar, nashe mein choor rahe,+ 46  to us daas ka maalik aise din aayega jis din ki woh ummeed bhi nahin kar raha hoga aur us ghadi aayega jiski use khabar bhi na hogi. aur woh use kadi-se-kadi saza dega aur us jagah feink dega jahaan vishvasghatiyon ko feinka jaata hai. 47  tab woh daas jisne samajh to liya tha ki uske maalik ki marzee kya hai, magar taiyar nahin tha ya uska diya hua kaam usne nahin kiya,* use kode se bahot maara jaayega.+ 48  magar jo daas apne maalik ki marzee nahin jaanta tha aur isliye usne maar khaane laayak kaam kiye, use kam kode lageinge. sach, jis kisi ko bahot diya gaya hai, usse bahot ka hisab liya jaayega. aur jise bahot saare kaam ki nigrani saunpi gayi hai, usse aur zyada hisab liya jaayega.+ 49  main dharti par aag lagane aaya hoon. yah aag sulag chuki hai, isse badhkar main aur kuch nahin chahta. 50  haan, ek baptisma hai jo mujhe lena hai aur jab tak mera yah baptisma poora nahin ho jaata, main takaleef mein rahoonga!+ 51  tumhein kya lagta hai, main dharti par shaanti dene aaya hoon? nahin, shaanti nahin balki main tumse kehta hoon, main fut daalne aaya hoon.+ 52  isliye ki ab se ek hi ghar ke paanch log ek-doosre ke khilaf ho jaayenge, teen do ke khilaf honge aur do teen ke. 53  woh ek-doosre ke khilaf honge, pita bete ke khilaf aur beta pita ke, maa beti ke khilaf aur beti maa ke, saas apni bahoo ke khilaf aur bahoo apni saas ke.”+ 54  iske baad usne bheed se kaha, “jab tum pashchim se ek baadal uthta dekhte ho, to fauran kehte ho, ‘barsati toofan aanevala hai’ aur aisa hi hota hai. 55  aur jab tum dakshini hava chalti dekhte ho, to kehte ho ‘bahot garmi hogi’ aur aisa hi hota hai. 56  are kaptiyo, tum dharti aur aasman ki soorat dekhkar samajh jaate ho ki mausam kaisa hoga, magar tum yah kyon nahin samajh paate ki is khaas vakt ka kya matlab hai?+ 57  tum khud yah faisla kyon nahin kar paa rahe ki tumhare liye kya karna sahi hai? 58  udahran ke liye, jab koi tujh par mukadma daayar karne ke liye kisi adhikari ke paas jaa raha ho, to tu raaste mein hi uske saath jhagda nipta le. kahin aisa na ho ki woh tujhe nyayi ke saamne haazir kare aur nyayi tujhe kotval ke havale kare aur kotval tujhe jail mein dalva de.+ 59  main tumse kehta hoon, jab tak tum ek-ek paai* na chuka do, tab tak tum vahaan se kisi bhi haal mein nahin chhoot sakoge.”

kai footnote

shabdavli dekhein.
shaa., “do asariyan.” ati. kh14 dekhein.
ya “andekha kare.”
ya “sabha-gharon ke saamne.”
ya “woh teri zindagi ki maang kar rahe hain.”
shaa., “ek haath bhi.” ati. kh14 dekhein.
ya “lily.”
ya “tandoor.”
shaa., “daya ke daan.” shabdavli dekhein.
ya “mez se tek lagayen.”
aadhi raat se subah kareeb 3 baje tak.
raat ke kareeb 9 baje se aadhi raat tak.
ya “soojh-boojh se kaam lenevala.”
ya “ghar ke kaamon ki dekhrekh karnevala.”
ya “ghar ke daason.”
ya “uski marzee poori nahin ki.”
shaa., “aakhiri leptaun.” ati. kh14 dekhein.