matti ke mutabik khushkhabri 10:1-42
10 fir yeeshu ne apne 12 chelon ko paas bulaya aur unhein dusht swargdooton par adhikar diya+ taaki woh unhein logon mein se nikaalein aur har tarah ki beemari aur shareer ki kamzori door karein.
2 in 12 preshiton ke naam ye hain:+ pehala, shamaun jo patras+ kehlata hai aur uska bhaai andriyas,+ fir yakub aur yuhanna jo jabdi ke bete the,+
3 filippus aur bartulmai,+ thoma+ aur kar-vasoolnevala matti,+ halfai ka beta yakub aur taddi,
4 josheela* shamaun aur yahooda iskariyoti, jisne baad mein uske saath gaddari ki.+
5 in baarahon ko yeeshu ne ye aadesh dekar bheja,+ “tum gair-yahoodiyon ke ilake mein ya saamriya ke kisi shehar mein mat jaana.+
6 iske bajay, sirf israel ke gharane ki khoyi hui bhedon ke paas jaana.+
7 tum jahaan-jahaan jaao vahaan yah prachar karna, ‘swarg ka raaj paas aa gaya hai.’+
8 beemaron ko theek karo,+ murdon ko zinda karo, kodhiyon ko shuddh karo, dusht swargdooton ko nikaalo. tumhein muft mila hai, muft mein do.
9 apne kamarband mein na to sone ke, na chaandi ke aur na hi tambe ke paise lena.+
10 na hi safar ke liye khaane ki potli ya do jodi kapde ya jootiyaan ya laathi lena+ kyonki kaam karnevala bhojan paane ka hakdar hai.+
11 tum jis kisi shehar ya gaanv mein jaao, to achhi tarah dhoondho ki vahaan kaun yogya hai aur tab tak uske yahaan raho, jab tak ki tum us ilake se na niklo.+
12 jab tum kisi ghar mein jaao, to ghar ke logon ko namaskar karo.
13 agar woh gharana yogya hai, to woh shaanti jiski tumne dua ki thi, us par bani rahegi.+ lekin agar woh yogya nahin hai, to shaanti tumhare paas laut aaye.
14 agar kisi ghar ya shehar mein koi tumhein sweekar nahin kare ya tumhari nahin sune, to vahaan se baahar nikaalte vakt apne pairon ki dhool jhaad dena.+
15 main tumse sach kehta hoon ki nyay ke din sadom aur amora+ ka haal us shehar ke haal se zyada sehne laayak hoga.
16 dekho! main tumhein bhedon ki tarah bhediyon ke beech bhej raha hoon. isliye saanpon ki tarah satark raho aur kabootaron ki tarah seedhe bane raho.+
17 logon se saavdhan raho kyonki woh tumhein nichli adalaton ke havale kar deinge+ aur apne sabha-gharon mein tumhein kode lagvayenge.+
18 meri vajah se tumhein raajyapalon aur raajaon ke saamne pesh kiya jaayega+ taaki unhein aur gair-yahoodiyon ko gavahi mile.+
19 magar jab woh tumhein pakadvayenge, to yah chinta na karna ki tum kya kahoge aur kaise kahoge. jo tumhein bolna hai woh us vakt tum jaan jaaoge.+
20 isliye ki tum apne aap nahin balki apne pita ki pavitra shakti ki madad se bologe.+
21 bhaai, bhaai ko marvane ke liye saunp dega aur pita apne bachchon ko. bachche apne maa-baap ke khilaf khade honge aur unhein marva daaleinge.+
22 mere naam ki vajah se sab log tumse nafrat kareinge.+ magar jo ant tak dheeraj dharega,* vahi uddhaar paayega.+
23 jab woh ek shehar mein tumhein satayen, to doosre shehar mein bhaag jaana+ kyonki main tumse sach kehta hoon ki tum israel ke shehron ka daura poora bhi na kar paaoge ki insan ka beta aa jaayega.
24 chela apne guru se bada nahin hota, na hi daas apne maalik se.+
25 ek chele ka apne guru jaisa aur daas ka apne maalik jaisa banna hi bahot hai.+ jab logon ne ghar ke maalik ko hi baal-zabool* kaha hai,+ to uske ghar ke logon ko kyon na kaheinge?
26 isliye unse mat daro kyonki aisa kuch nahin jo dhaka gaya ho aur khola na jaaye aur jise raaz rakha gaya ho aur jaana na jaaye.+
27 jo main tumhein andhere mein batata hoon use ujale mein kaho aur jo main tumse fusfusakar kehta hoon, uska ghar ki chhaton par chadhkar ailan karo.+
28 unse mat daro jo shareer ko nasht kar sakte hain magar jeevan ko nahin,*+ iske bajay usse daro jo jeevan aur shareer donon ko gehanna* mein mita sakta hai.+
29 kya ek paise mein* do chidiyaan nahin biktin? magar unmein se ek bhi tumhare pita ke jaane bagair zameen par nahin girti.+
30 magar tumhare sir ka ek-ek baal tak gina hua hai.
31 isliye mat daro, tum bahot-si chidiyon se kahin zyada anmol ho.+
32 to fir, jo koi logon ke saamne mujhe sweekar karta hai,+ main bhi swarg mein rehnevale apne pita ke saamne use sweekar karoonga.+
33 magar jo koi logon ke saamne mera inkar karta hai, main bhi swarg mein rehnevale apne pita ke saamne uska inkar kar doonga.+
34 yah mat socho ki main dharti par shaanti laane aaya hoon, main shaanti laane nahin balki talvar chalvane aaya hoon.+
35 main bete ko pita ke, beti ko maa ke aur bahoo ko uski saas ke khilaf karne aaya hoon.+
36 vaakai, ek aadmi ke dushman uske apne hi gharane ke log honge.
37 jo mujhse zyada apne pita ya apni maa se lagav rakhta hai, woh mere laayak nahin aur jo mujhse zyada apne bete ya apni beti se lagav rakhta hai, woh mere laayak nahin.+
38 jo koi apna yaatna ka kaath* nahin uthana chahta aur mere peechhe nahin chalta, woh mera chela banne ke laayak nahin.+
39 jo apni jaan bachata hai woh use khoyega aur jo meri khaatir apni jaan ganvata hai woh use paayega.+
40 jo tumhein sweekar karta hai, woh mujhe bhi sweekar karta hai aur jo mujhe sweekar karta hai, woh use bhi sweekar karta hai jisne mujhe bheja hai.+
41 jo kisi bhavishyavakta ko isliye sweekar karta hai ki woh bhavishyavakta hai, use vahi inam milega jo ek bhavishyavakta ko milta hai.+ aur jo kisi nek insan ko isliye sweekar karta hai ki woh nek hai, use vahi inam milega jo ek nek insan ko milta hai.
42 main tumse sach kehta hoon, jo koi in chhoton mein se kisi ek ko mera chela jaankar ek pyala thanda paani bhi pilata hai, woh apna inam zaroor paayega.”+
kai footnote
^ shaa., “kanaanani.”
^ ya “dharta hai.”
^ shaitan ko diya ek naam jo dusht swargdooton ka raja ya shaasak hai.
^ ya “jeevan paane ki ummeed nahin chheen sakte.”