matti ke mutabik khushkhabri 17:1-27
17 chh: din baad yeeshu ne patras, yakub aur uske bhaai yuhanna ko apne saath liya. woh unko ek unche pahad par le gaya, jahaan unke siva koi nahin tha.+
2 unke saamne yeeshu ka roop badal gaya. uska chehra sooraj ki tarah damak utha aur uske kapde raushni ki tarah chamakne lage.+
3 tabhi achanak unhein vahaan moosa aur eliyah dikhayi diye, jo yeeshu se baat kar rahe the.
4 tab patras ne yeeshu se kaha, “prabhu, hum bahot khush hain ki hum yahaan aaye. agar tu chahe to main yahaan teen tamboo khade karta hoon, ek tere liye, ek moosa ke liye aur ek eliyah ke liye.”
5 woh bol hi raha tha ki tabhi ek ujla baadal un par chhaa gaya aur dekho! us baadal mein se yah aavaz aayi, “yah mera pyara beta hai jise mainne manzoor kiya hai.+ iski suno.”+
6 yah sunte hi chele aundhe munh gir pade aur bahot dar gaye.
7 tab yeeshu unke nazdeek aaya aur unhein chhookar kaha, “utho, daro mat.”
8 jab unhonne nazrein uthayin to dekha ki vahaan yeeshu ke siva koi nahin tha.
9 iske baad jab woh pahad se neeche utar rahe the, to yeeshu ne unhein hukm diya, “jab tak insan ke bete ko mare huon mein se zinda na kiya jaaye, tab tak is darshan ke baare mein kisi ko mat batana.”+
10 magar chelon ne usse poochha, “to fir, shaastri kyon kehte hain ki pehale eliyah ka aana zaroori hai?”+
11 javab mein usne kaha, “eliyah vaakai aa raha hai aur woh sabkuch pehale jaisa kar dega.+
12 balki main tumse kehta hoon ki eliyah aa chuka hai aur unhonne use nahin pehchana, magar uske saath woh sab kiya jo woh karna chahte the.+ isi tarah, insan ka beta bhi unke haathon dukh jhelega.”+
13 tab chele samajh gaye ki woh unse yuhanna baptisma denevale ke baare mein baat kar raha hai.
14 jab woh bheed ki taraf aaye,+ to ek aadmi yeeshu ke paas aaya aur uske saamne ghutne tekkar kehne laga,
15 “prabhu, mere bete par daya kar kyonki ise mirgi aati hai aur iski haalaat bahot kharab hai. yah kabhi aag mein gir jaata hai, to kabhi paani mein.+
16 main ise tere chelon ke paas laaya tha magar woh ise theek nahin kar sake.”
17 tab yeeshu ne kaha, “hey avishvasi aur tedhe logo,*+ main aur kab tak tumhare saath rahoon? kab tak tumhari sahoon? use yahaan mere paas laao.”
18 tab yeeshu ne us ladke mein samaye dusht swargdoot ko fatkaara aur woh usmein se nikaal gaya. usi pal ladka theek ho gaya.+
19 iske baad chele akele mein yeeshu ke paas aaye aur unhonne kaha, “hum us dusht swargdoot ko kyon nahin nikaal paaye?”
20 usne kaha, “apne vishvas ki kami ki vajah se. main tumse sach kehta hoon, agar tumhare andar raai ke daane ke barbar bhi vishvas hai, to tum is pahad se kahoge, ‘yahaan se hatkar vahaan chala jaa’ aur woh chala jaayega aur tumhare liye kuch bhi naamumkin nahin hoga.”+
21 * —
22 jab yeeshu aur uske chele galeel mein ek-saath the, to usne unse kaha, “insan ke bete ke saath vishvasghat kiya jaayega aur use logon ke havale kar diya jaayega.+
23 woh use maar daaleinge aur use teesre din zinda kiya jaayega.”+ yah sunkar woh bahot dukhi ho gaye.
24 jab woh kafarnahoom pahunche, to patras ke paas woh log aaye jo mandir ka kar* vasoola karte the. unhonne patras se kaha, “kya tumhara guru mandir ka kar nahin deta?”+
25 usne kaha, “haan, deta hai.” magar jab woh ghar ke andar gaya, to yeeshu ne uske bolne se pehale hi usse poochha, “shamaun, tu kya sochta hai? duniya ke raja mahsool ya kar kisse lete hain? apne beton se ya parayon se?”
26 jab usne kaha, “parayon se,” to yeeshu ne usse kaha, “iska matlab hai ki beton ko kar dene ki zaroorat nahin hai.
27 lekin aisa na ho ki hamari vajah se woh thokar khaayen,+ isliye tu jheel ke kinare jaa aur machhli pakadne ke liye kaanta daal. jo pehali machhli pakad mein aaye use lena aur uska munh kholna, tujhe usmein chaandi ka ek sikka* milega. use le jaakaar apne aur mere liye kar-vasoolnevalon ko de dena.”
kai footnote
^ shaa., “tedhi peedhi.”