matti ke mutabik khushkhabri 18:1-35

  • raaj mein kaun sabse bada (1-6)

  • vishvas ki raah mein baadhayen daalna (7-11)

  • khoyi hui bhed ki misal (12-14)

  • bhaai ko paa lena (15-20)

  • maaf na karnevale daas ki misal (21-35)

18  us vakt chelon ne yeeshu ke paas aakaar usse poochha, “swarg ke raaj mein kaun sabse bada hoga?”+  tab yeeshu ne ek chhote bachche ko apne paas bulakar unke beech khada kiya  aur kaha, “main tumse sach kehta hoon, jab tak ki tum khud ko badalkar* vaise na bano jaise chhote bachche hote hain,+ tab tak tum swarg ke raaj mein hargiz daakhil na ho sakoge.+  isliye jo koi is chhote bachche ki tarah khud ko namra karega, vahi swarg ke raaj mein sabse bada hoga.+  jo koi mere naam se aise ek bhi bachche ko sweekar karta hai, woh mujhe sweekar karta hai.  magar jo koi mujh par vishvas karnevale in chhoton mein se kisi ko thokar khilata hai,* uske liye yahi achha hai ki uske gale mein chakki ka woh paat latkaya jaaye jise gadha ghumata hai aur use gehre samundar mein duba diya jaaye.+  is duniya ka bahot bura haal hoga, kyonki yah vishvas ki raah mein baadhayen* daalti hai! beshak, raah mein baadhayen zaroor aayengi, magar us insan ke saath bahot bura hoga jo vishvas ki raah mein baadha banta hai!  isliye agar tera haath ya pair tujhse paap karvata hai* to use kaatkar door feink de.+ achha yahi hoga ki tu ek haath ya pair ke bina jeevan paaye, bajay iske ki tu donon haathon ya pairon samet hamesha jalnevali aag se naash kiya jaaye.+  agar teri aankh tujhse paap karvati hai to use nonchkar nikaal de aur door feink de. achha yahi hoga ki tu ek aankh ke bina jeevan paaye, bajay iske ki tu donon aankhon samet gehanna* ki aag mein feink diya jaaye.+ 10  dhyan rahe ki tum in chhoton mein se kisi ko bhi tuchh na samjho. main tumse kehta hoon ki inke swargdoot hamesha swarg mein mere pita ke saamne maujood rehte hain.+ 11 * 12  tum kya sochte ho? agar kisi aadmi ki 100 bhedein hon aur unmein se ek bhatak jaaye,+ to kya woh baaki 99 ko pahadon par chhodkar us ek bhatki hui bhed ko dhoondhne nahin jaayega?+ 13  aur agar woh use mil jaati hai, to main tumse sach kehta hoon ki woh apni 99 bhedon se zyada, jo bhatki nahin thi, is ek bhed ke liye khushiyaan manayega. 14  isi tarah mera* pita jo swarg mein hai, nahin chahta ki in chhoton mein se ek bhi naash ho.+ 15  agar tera bhaai koi paap karta hai, to jaa aur usse akele mein baat kar aur uski galti use bata.*+ agar woh teri sune, to toone apne bhaai ko paa liya hai.+ 16  lekin agar woh teri nahin sunta, to apne saath ek ya do logon ko le jaakaar usse baat kar taaki har maamle ki sachchai do ya teen gavahon ke bayan* se saabit ho.+ 17  agar woh unki nahin sunta, to mandli ko bata. aur agar woh mandli ki bhi nahin sunta, to woh tere liye gair-yahoodi+ ya kar-vasoolnevale jaisa thahre.+ 18  main tumse sach kehta hoon, jo kuch tum dharti par baandhoge, woh pehale hi swarg mein bandha hoga aur jo kuch tum dharti par khologe, woh pehale hi swarg mein khula hoga. 19  main fir tumse sach kehta hoon, agar tummein se do log dharti par kisi zaroori baat ke liye ek man hokar binti karein, to swarg mein rehnevala mera pita unke liye use poora kar dega.+ 20  isliye ki jahaan do ya teen jan mere naam se ikattha hote hain,+ vahaan main unke beech maujood rehta hoon.” 21  iske baad patras ne aakaar yeeshu se poochha, “prabhu, agar mera bhaai mere khilaf paap karta rahe, to main kitni baar use maaf karoon? saat baar?” 22  yeeshu ne usse kaha, “main tujhse kehta hoon ki saat baar nahin balki 77 baar.+ 23  iseeliye swarg ke raaj ki tulna ek aise raja se ki jaa sakti hai, jo apne daason se kehta hai ki woh apna-apna karz chukayen. 24  jab usne hisab lena shuroo kiya, to uske saamne ek aise daas ko laaya gaya jis par chh: karod deenar* ka karz tha. 25  magar uske paas karz chukane ke liye kuch nahin tha, isliye uske maalik ne hukm diya ki us daas ko, uske beevi-bachchon ko aur jo kuch uska hai, sab bechkar karz chukaya jaaye.+ 26  tab woh daas uske saamne girkar* gidgidane laga, ‘mujhe thodi aur mohlat de aur main teri paai-paai chuka doonga.’ 27  yah dekhkar maalik ka dil tadap utha aur usne us daas ko chhod diya aur uska saara karz maaf kar diya.+ 28  lekin vahi daas baahar nikala aur usne apne ek sangi daas ko dhoondha, jisne usse 100 deenar* udhaar liye the. woh use pakadkar uska gala dabane laga aur kehne laga, ‘toone jo udhaar liya hai woh vaapas kar.’ 29  tab uska sangi daas uske pair padne laga aur binti karne laga, ‘mujhe thodi aur mohlat de aur main tera udhaar chuka doonga.’ 30  magar usne uski ek na suni aur jaakaar use tab tak ke liye jail mein dalva diya, jab tak ki woh apna udhaar na chuka de. 31  jab uske sangi daason ne yah sab dekha, to woh bahot dukhi huye aur unhonne jaakaar apne maalik ko saari baat bata di. 32  tab maalik ne us pehale daas ko bulvaya aur usse kaha, ‘are dusht, jab tu mere saamne gidgidaya tha, tab mainne tera saara karz maaf kar diya tha. 33  to kya tujhe bhi apne sangi daas par daya nahin karni thi, jaise mainne tujh par daya ki thi?’+ 34  maalik ka gussa bhadak utha aur usne us daas ko tab tak ke liye jailron ke havale kar diya, jab tak ki woh uski paai-paai na chuka de. 35  agar tummein se harek apne bhaai ko dil se maaf nahin karega, to swarg mein rehnevala mera pita bhi tumhare saath isi tarah pesh aayega.”+

kai footnote

shaa., “tum na palto.”
yaani kuch aisa karta hai ki doosra aadmi vishvas karna chhod deta hai.
ya “thokar ke patthar.”
ya “tujhe thokar khilata hai.”
shabdavli dekhein.
ati. k3 dekhein.
ya shaayad, “tumhara.”
shaa., “use sudhaar.”
shaa., “munh.”
ya “chaandi ke 10,000 tode.” ati. kh14 dekhein.
ya “dandvat karke.”
ati. kh14 dekhein.