matti ke mutabik khushkhabri 27:1-66

  • yeeshu, peelatus ke havale kiya gaya (1, 2)

  • yahooda faansi laga leta hai (3-10)

  • yeeshu, peelatus ke saamne (11-26)

  • sabke saamne mazak udaya gaya (27-31)

  • gulguta mein kaath par thonk diya gaya (32-44)

  • yeeshu ki maut (45-56)

  • yeeshu ko dafnaya gaya (57-61)

  • kabraa par sakht pehra bithaya gaya (62-66)

27  jab subah ho gayi, to sabhi pradhan yaajkon aur logon ke mukhiyaon ne yeeshu ko maar daalne ke liye aapas mein salah-mashvira kiya.+  woh use baandhkar raajyapal peelatus ke paas le gaye aur uske havale kar diya.+  uske saath vishvasghat karnevale yahooda ne jab dekha ki yeeshu ko maut ki saza di gayi hai, to uska dil use kachotne laga. usne pradhan yaajkon aur mukhiyaon ko chaandi ke woh 30 sikke lautate huye+  kaha, “mainne ek nirdosh aadmi ke khoon ka sauda karke paap kiya hai.” unhonne kaha, “isse hamein kya lena? tu hi jaan!”*  tab usne chaandi ke tukde mandir mein feink diye aur jaakaar faansi laga li.+  lekin pradhan yaajkon ne un chaandi ke tukdon ko lekar kaha, “inhein mandir ke khazane mein daalna sahi nahin hoga kyonki yah khoon ki keemat hai.”  unhonne aapas mein baat karne ke baad, un paison se ajnabiyon ko dafnane ke liye kumhar ki zameen khareed li.  isliye woh zameen aaj ke din tak khoon ki zameen kehlati hai.+  isse yah baat poori hui jo yirmayah bhavishyavakta se kehalvayi gayi thi, “unhonne chaandi ke 30 tukde liye, jo us aadmi ke liye thehrayi gayi keemat thi. israel ke kuch beton ne us aadmi ke liye ek keemat thehra di thi. 10  aur unhonne ye sikke kumhar ki zameen ke liye diye, jaisa yahova* ne mujhe aagya di thi.”+ 11  yeeshu ab raajyapal ke saamne khada tha. aur raajyapal ne usse yah saval kiya, “kya tu yahoodiyon ka raja hai?” yeeshu ne javab diya, “tu khud yah kehta hai.”+ 12  magar jab pradhan yaajak aur mukhiya us par ilzam laga rahe the, to usne koi javab nahin diya.+ 13  tab peelatus ne usse kaha, “kya tu sun nahin raha ki ye tujh par kya-kya ilzam laga rahe hain?” 14  fir bhi yeeshu ne use koi javab nahin diya, yahaan tak ki ek shabd bhi nahin kaha, isliye raajyapal ko bada taajjub hua. 15  raajyapal ka yah rivaz tha ki woh har saal tyohar ke vakt kisi ek kaidi ko, jise log chahte the, riha kar diya karta tha.+ 16  unhin dinon, barabba naam ka ek kukhyat kaidi unki kaid mein tha. 17  isliye jab woh ikattha huye, to peelatus ne unse poochha, “tum kya chahte ho, main tumhare liye kise riha karoon, barabba ko ya yeeshu ko jise maseeh kaha jaata hai?” 18  peelatus jaanta tha ki unhonne irshya ki vajah se yeeshu ko uske havale kiya tha. 19  itna hi nahin, jab woh nyay-aasan par baitha hua tha, to uski patni ne uske paas yah sandesh bheja, “tu us nek insan ke maamle mein dakhal mat dena, kyonki uski vajah se mujhe ek daravna sapna aaya aur aaj main bahot pareshan hoon.” 20  magar pradhan yaajkon aur mukhiyaon ne bheed ko yah kehne ke liye uksaya ki barabba ko riha kar diya jaaye,+ magar yeeshu ko maar daala jaaye.+ 21  raajyapal ne ek baar fir unse poochha, “tum kya chahte ho, main donon mein se kise tumhare liye riha karoon?” unhonne kaha, “barabba ko.” 22  peelatus ne unse kaha, “to fir main is yeeshu ke saath, jise maseeh kaha jaata hai, kya karoon?” un sabne kaha, “ise kaath par latka de!”+ 23  raajyapal ne kaha, “kyon, isne kya bura kiya hai?” magar woh aur bhi zor se chillane lage, “ise kaath par latka de!”+ 24  jab peelatus ne dekha ki uske kehne ka koi faayda nahin ho raha, balki hullad badhta hi jaa raha hai, to usne paani liya aur bheed ke saamne apne haath dhote huye kaha, “main is aadmi ke khoon se nirdosh hoon. tum hi jaano.” 25  tab sab logon ne kaha, “iska khoon hamare aur hamare bachchon ke sir aa pade.”+ 26  tab usne barabba ko riha kar diya. magar yeeshu ko usne kode lagvaye+ aur kaath par latkakar maar daalne ke liye saunp diya.+ 27  iske baad, raajyapal ke sainik yeeshu ko uske bhavan ke andar le gaye aur unhonne sainikon ki poori paltan ko vahaan uske paas ikattha kar liya.+ 28  unhonne uske kapde utaarkar use surkh laal rang ka ek kapda pehnaya+ 29  aur kaanton ka ek taaj banakar uske sir par rakha aur uske daayen haath mein ek narkat diya. fir woh uske saamne ghutne tekkar yah kehte huye uska mazak udane lage, “hey yahoodiyon ke raja , salam!”* 30  unhonne us par thooka+ aur narkat lekar uske sir par maarne lage. 31  jab unhonne uska khoob mazak uda liya, to woh kapda utar diya aur usi ke kapde use pehna diye. fir woh use kaath par thonkne ke liye le gaye.+ 32  jab woh jaa rahe the, to unhein kurene ka rehnevala ek aadmi mila jiska naam shamaun tha. unhonne is aadmi ko jabran seva ke liye pakda ki woh yeeshu ka yaatna ka kaath* uthakar le chale.+ 33  jab woh gulguta naam ki jagah pahunche, jo khopdi sthan kehlati hai,+ 34  to unhonne yeeshu ko peene ke liye pitt* mili daakh-madira di.+ magar usne chakhne ke baad, use peene se inkar kar diya. 35  sainikon ne use kaath par thonk diya aur chitthiyaan daalkar uska odhna aapas mein baant liya.+ 36  fir vahaan baithkar woh uski pehredari karne lage. 37  aur us par jo ilzam tha, use likhkar unhonne uske sir ke oopar kaath par laga diya: “yah yahoodiyon ka raja yeeshu hai.”+ 38  uske saath do luteron ko kaath par latkaya gaya tha, ek uske daayin taraf aur doosra baayin taraf.+ 39  jo log vahaan se guzar rahe the, woh sir hila-hilakar uski beizzati karne lage,+ 40  “are mandir ko dhaanevale, use teen din ke andar bananevale,+ khud ko bacha le! agar tu parmeshvar ka beta hai, to yaatna ke kaath* se neeche utar aa!”+ 41  isi tarah, pradhan yaajak bhi shaastriyon aur mukhiyaon ke saath milkar uska mazak udane lage,+ 42  “isne doosron ko to bachaya, magar khud ko nahin bacha sakta! yah israel ka raja hai.+ ab yah yaatna ke kaath* se neeche to utre, tab hum iska yakeen kareinge. 43  isne parmeshvar par bharosa rakha hai, agar parmeshvar ise chahta hai, to ise bachaye+ kyonki isne kaha hai, ‘main parmeshvar ka beta hoon.’”+ 44  yahaan tak ki jo lutere uske donon taraf kaath par the, woh bhi use bura-bhala kah rahe the.+ 45  chhathe ghante* se us poore desh mein andhkar chhaa gaya aur nauvein ghante* tak chhaaya raha.+ 46  nauvein ghante ke kareeb yeeshu ne zor se pukara, “eli, eli, laama shabaktani?” jiska matlab hai, “mere parmeshvar, mere parmeshvar, toone mujhe kyon chhod diya?”+ 47  yah sunkar vahaan khade kuch log kehne lage, “yah aadmi eliyah ko pukar raha hai.”+ 48  unmein se ek ne fauran daudkar ek spanj liya aur use khatti daakh-madira mein dubokar narkat par rakha aur use peene ke liye diya.+ 49  magar baakiyon ne kaha, “dekhte hain, eliyah ise bachane aata hai ya nahin.” 50  yeeshu ek baar fir zor se chillaya aur usne dam tod diya.+ 51  tab dekho! mandir ka parda+ oopar se neeche tak fatkaar do tukde ho gaya+ aur dharti kaanp uthi aur chattanein fat gayin. 52  kabrein* khul gayin aur maut ki nind soye bahot-se pavitra janon ki laashein kabraon se baahar jaa girin 53  aur kabraistan mein maujood bahot-se logon ne ye laashein dekhin. (kuch log jo kabraon ke paas gaye the, woh yeeshu ke zinda kiye jaane ke baad pavitra shehar aaye.) 54  magar jab sena-afsar aur uske saath yeeshu ki pehredari karnevalon ne bhookamp aur un saari ghatnaon ko dekha, to woh bahot dar gaye aur kehne lage, “vaakai yah parmeshvar ka beta tha.”+ 55  vahaan bahot-si aurtein, jo galeel se yeeshu ki seva karti hui uske saath aayi thi, door khadi dekh rahi thi.+ 56  unmein mariyam magadleeni, yakub aur yoses ki maa mariyam aur jabdi ke beton ki maa bhi thi.+ 57  jab dopahar kaafi beet chuki, tab yoosuf naam ka ek ameer aadmi vahaan aaya, jo arimatiyah ka rehnevala tha. woh bhi yeeshu ka ek chela ban chuka tha.+ 58  is aadmi ne peelatus ke paas jaakaar yeeshu ki laash maangi.+ tab peelatus ne hukm diya ki use laash de di jaaye.+ 59  yoosuf ne laash lekar use badhiya malmal ki saaf chaadar mein lapeta+ 60  aur apni nayi kabraa mein rakha,+ jo usne chattan khodkar banvayi thi. kabraa ke dvar par ek bada patthar ludhkane ke baad, woh vahaan se chala gaya. 61  lekin mariyam magadleeni aur doosri mariyam vahin kabraa ke saamne baithi rahin.+ 62  agle din yaani taiyari ke din ke baad,+ pradhan yaajak aur fareesi, peelatus ke saamne jama huye 63  aur kehne lage, “huzoor, hamein yaad hai ki us farebi ne jeete-ji kaha tha, ‘teen din baad mujhe zinda kar diya jaayega.’+ 64  isliye hukm de ki teesre din tak kabraa ki chauksi ki jaaye taaki uske chele aakaar use chura na lein+ aur logon se kahein, ‘use mare huon mein se zinda kar diya gaya hai!’ fir yah aakhiri dhong, pehalevale dhong se bhi badtar hoga.” 65  peelatus ne unse kaha, “tum pehredar le jaa sakte ho. aur jaisa pehra bithana chahte ho vaisa bitha do.” 66  tab woh gaye aur unhonne ek bade patthar se kabraa ka dvar achhi tarah band kar diya aur pehredar tainat kar diye.

kai footnote

ya “yah teri sirdardi hai.”
ati. ka5 dekhein.
ya “teri jay ho!”
shabdavli dekhein.
ek kadvi cheez.
shabdavli dekhein.
shabdavli dekhein.
yaani dopahar kareeb 12 baje.
yaani dopahar kareeb 3 baje.
ya “smarak kabrein.”