matti ke mutabik khushkhabri 6:1-34
6 khabardar raho ki tum logon ko dikhane ke liye unke saamne nek kaam na karo,+ nahin to tum apne pita se jo swarg mein hai, koi fal nahin paaoge.
2 isliye jab tu daan* de, to apne aage-aage turhi na bajva, jaise kapti sabha-gharon aur galiyon mein bajvate hain taaki log unki vaah-vaahi karein. main tumse sach kehta hoon, woh apna poora fal paa chuke hain.
3 magar jab tu daan de, to tere baayen haath ko bhi maaloom na pade ki tera daayaan haath kya de raha hai,
4 jisse tera daan gupt rahe. tab tera pita jo tera har kaam dekh raha hai,* tujhe iska fal dega.+
5 jab tum prarthna karo, to kaptiyon ki tarah mat karo+ kyonki unhein sabha-gharon aur sadkon ke chaurahe par khade hokar prarthna karna achha lagta hai taaki log unhein dekh sakein.+ main tumse sach kehta hoon, woh apna poora fal paa chuke hain.
6 lekin jab tu prarthna kare, to akele apne ghar ke kamre mein jaa aur darvaza band kar aur apne pita se jise koi nahin dekh sakta,* prarthna kar.+ tab tera pita jo tera har kaam dekh raha hai,* tujhe iska fal dega.
7 prarthna karte vakt, duniya ke logon ki tarah ek hi baat baar-baar mat doharao kyonki woh sochte hain ki unke bahot zyada bolne se parmeshvar unki sunega.
8 isliye tum unke jaise mat bano kyonki tumhara pita tumhare maangne se pehale hi jaanta hai ki tumhein kin cheezon ki zaroorat hai.+
9 isliye, tum is tarah prarthna karna:+
‘hey hamare pita tu jo swarg mein hai, tera naam+ pavitra kiya jaaye.*+
10 tera raaj+ aaye. teri marzee+ jaise swarg mein poori hoti hai, vaise dharti par bhi poori ho.+
11 aaj ke din ki roti hamein de.+
12 jaise hamne apne khilaf paap karnevalon* ko maaf kiya hai, vaise hi tu bhi hamare paap* maaf kar.+
13 jab hum par pareeksha aaye to hamein girne na de,+ magar hamein shaitan* se bacha.’*+
14 agar tum doosron ke apradh maaf karoge, to swarg mein rehnevala tumhara pita bhi tumhein maaf karega.+
15 lekin agar tum doosron ke apradh maaf nahin karoge, to tumhara pita bhi tumhare apradh maaf nahin karega.+
16 jab tum upvas karte ho,+ to paakhandiyon ki tarah munh latkaye rehna band karo, kyonki woh apna chehra ganda kar lete hain* taaki log unhein dekhkar jaanein ki woh upvas kar rahe hain.+ main tumse sach kehta hoon, woh apna poora fal paa chuke hain.
17 lekin jab tu upvas kare, to apne sir par tel laga aur munh dho
18 taaki log nahin balki tera pita, jise koi nahin dekh sakta, jaane ki tu upvas kar raha hai. tab tera pita jo tera har kaam dekh raha hai,* tujhe iska fal dega.
19 apne liye prithvi par dhan jama karna band karo,+ jahaan keeda aur zang use khaa jaate hain aur chor seindh lagakar chura lete hain.
20 iske bajay, apne liye swarg mein dhan jama karo,+ jahaan na to keeda, na hi zang use khaate hain+ aur na chor seindh lagakar churate hain.
21 kyonki jahaan tera dhan hoga, vahin tera man hoga.
22 aankh, shareer ka deepak hai.+ isliye agar teri aankh ek hi cheez par tiki hai,* to tera saara shareer raushan rahega.
23 lekin agar teri aankhon mein irshya bhari hai,*+ to tera saara shareer andhkar se bhar jaayega. agar shareer ko raushan karnevali teri aankh hi andhere mein ho, to tu kitne gehre andhkar mein hoga!
24 koi bhi daas do maalikon ki seva nahin kar sakta. kyonki ya to woh ek se nafrat karega aur doosre se pyar+ ya woh ek se juda rahega aur doosre ko tuchh samjhega. tum parmeshvar ke daas hone ke saath-saath dhan-daulat ki gulami nahin kar sakte.+
25 isliye main tumse kehta hoon, apne jeevan ke liye chinta karna chhod do+ ki tum kya khaaoge ya kya peeoge, na hi apne shareer ke liye chinta karo ki tum kya pehnoge.+ kya jeevan bhojan se aur shareer kapde se anmol nahin?+
26 aakash mein udnevale panchhiyon ko dhyan se dekho.+ woh na to beej bote, na katai karte, na hi godamon mein bharkar rakhte hain, fir bhi swarg mein rehnevala tumhara pita unhein khilata hai. kya tumhara mol unse badhkar nahin?
27 tummein aisa kaun hai jo chinta karke ek pal ke liye bhi* apni zindagi badha sake?+
28 tum yah chinta kyon karte ho ki tumhare paas pehanne ke liye kapde kahaan se aayenge? maidan mein ugnevale sosan* ke foolon se sabak seekho, woh kaise badhte hain; woh na to kadi mazdoori karte hain na hi soot kaatte hain.
29 magar main tumse kehta hoon ki sulaiman+ bhi jab apne poore vaibhav mein tha, to inmein se kisi ek ki tarah bhi saj-dhaj na saka.
30 isliye agar parmeshvar maidan mein ugnevale in paudhon ko, jo aaj hain aur kal aag* mein jhonk diye jaayenge, aise shaandar kapde pehnata hai, to are kam vishvas rakhnevalo! kya woh tumhein nahin pehnayega?
31 isliye kabhi-bhi chinta+ karke yah mat kehna ki hum kya khaayenge? ya hum kya peeyenge? ya hum kya pehneinge?+
32 kyonki inhin sab cheezon ke peechhe duniya ke log din-raat bhaag rahe hain. magar swarg mein rehnevala tumhara pita jaanta hai ki tumhein in sab cheezon ki zaroorat hai.
33 isliye tum pehale uske raaj aur uske nek* staron ki khoj mein lage raho aur ye baaki saari cheezen bhi tumhein de di jaayengi.+
34 isliye agle din ki chinta kabhi na karna+ kyonki agle din ki apni hi chintayen hongi. aaj ke liye aaj ki pareshaniyaan kaafi hain.
kai footnote
^ ya “jo gupt mein dekhta hai.”
^ ya “jo gupt mein dekhta hai.”
^ ya “jo gupt mein dekhta hai.”
^ ya “pavitra maana jaaye; samjha jaaye.”
^ shaa., “apne karzdaron.”
^ shaa., “hamare karz.”
^ shaa., “us dusht.”
^ ya “chhuda.”
^ ya “ganda rehne dete hain.”
^ ya “jo gupt mein dekhta hai.”
^ ya “saaf-saaf dekhti hai.” shaa., “saadi hai.”
^ shaa., “aankh buri; dusht hai.”
^ ya “lily.”
^ ya “tandoor.”