matti ke mutabik khushkhabri 9:1-38
9 tab yeeshu naav par chadhkar us paar chala gaya aur apne shehar gaya.+
2 aur dekho! kuch log lakve ke maare huye ek aadmi ko khaat par litakar laa rahe the. jab yeeshu ne unka vishvas dekha, to usne lakve ke maare aadmi se kaha, “himmat rakh bete, tere paap maaf kiye gaye.”+
3 tab kuch shaastri man mein kehne lage, “yah aadmi parmeshvar ki ninda kar raha hai.”
4 yah jaante huye ki woh kya soch rahe hain, yeeshu ne kaha, “tum kyon apne man mein buri baatein soch rahe ho?+
5 kya kehna zyada aasan hai, ‘tere paap maaf kiye gaye’ ya yah kehna, ‘uth aur chal-fir’?+
6 magar isliye ki tum jaan lo ki insan ke bete ko dharti par paap maaf karne ka adhikar diya gaya hai . . ..” fir usne lakve ke maare huye se kaha, “khada ho! apni khaat utha aur ghar jaa.”+
7 tab woh aadmi khada ho gaya aur apne ghar chala gaya.
8 yah dekhkar logon par dar chhaa gaya aur woh parmeshvar ki mahima karne lage, jisne ek insan ko aisa karne ka adhikar diya tha.
9 fir jab yeeshu vahaan se aage jaa raha tha, to uski nazar matti naam ke ek aadmi par padi, jo kar-vasooli ke daftar mein baitha tha. yeeshu ne usse kaha, “aa, mera chela ban jaa.” tab matti uthkar uske peechhe chal diya.+
10 baad mein jab yeeshu ek ghar mein khaana khaa raha tha,* to dekho! bahot-se kar-vasoolnevale aur unke jaise doosre paapi aaye aur woh bhi yeeshu aur uske chelon ke saath khaane baithe.*+
11 magar yah dekhkar fareesi uske chelon se kehne lage, “tumhara guru kar-vasoolnevalon aur paapiyon ke saath kyon khaata hai?”+
12 unki baat sunkar yeeshu ne kaha, “jo bhale-change hain unhein vaid ki zaroorat nahin hoti, magar beemaron ko hoti hai.+
13 isliye jaao aur is baat ka matlab seekho, ‘main balidan nahin chahta balki yah chahta hoon ki tum doosron par daya karo.’+ kyonki main dharmiyon ko nahin, paapiyon ko bulane aaya hoon.”
14 fir yuhanna ke chele yeeshu ke paas aaye aur poochhne lage, “hum log aur fareesi to upvas rakhte hain, magar tere chele upvas kyon nahin rakhte?”+
15 yeeshu ne unse kaha, “jab tak doolha+ apne doston ke saath hota hai, kya uske dost maatam manate hain? nahin. magar woh din aayenge jab doolhe ko unse juda kar diya jaayega,+ tab woh upvas kareinge.
16 koi bhi purane kapde ke chhed par naye kapde ka tukda nahin lagata. agar woh lagaye to naya tukda sikudkar purane kapde ko faad dega aur chhed aur bhi bada ho jaayega.+
17 na hi log nayi daakh-madira purani mashkon mein bharte hain. agar woh bharein, to mashkein fat jaayengi aur madira bah jaayegi aur mashkein nasht ho jaayengi. magar log nayi madira nayi mashkon mein bharte hain aur donon sahi-salamat rehti hain.”
18 jab woh unhein ye baatein bata raha tha, tab dekho! ek adhikari uske paas aaya aur usne jhukkar use pranam* kiya aur kaha, “ab tak meri bachchi mar chuki hogi. fir bhi tu chal aur us par apna haath rakh, tab woh fir se zinda ho jaayegi.”+
19 tab yeeshu utha aur uske peechhe gaya aur chele bhi uske saath gaye.
20 aur dekho! ek aurat jo 12 saal se khoon behene ki beemari se peedit thi,+ woh yeeshu ke peechhe aayi aur usne uske kapde ki jhaalar chhoo li,+
21 kyonki woh man-hi-man kehti thi, “agar main uske kapde ko hi chhoo loon, to achhi ho jaaungi.”
22 yeeshu ne mudkar use dekha aur kaha, “beti, himmat rakh, tere vishvas ne tujhe theek kiya hai.”+ usi ghadi woh aurat theek ho gayi.+
23 jab woh us adhikari ke ghar pahuncha, to uski nazar baansuri bajanevalon aur shorgul karti bheed par padi.+
24 yeeshu ne unse kaha, “tum log yahaan se jaao, kyonki bachchi mari nahin balki so rahi hai.”+ yah sunkar woh uski khilli udane lage.
25 jaise hi bheed ko baahar kar diya gaya, yeeshu andar gaya aur usne bachchi ka haath pakda+ aur woh uth baithi.+
26 is baat ki charcha us poore ilake mein fail gayi.
27 jab yeeshu vahaan se aage jaa raha tha, to do andhe aadmi+ uske peechhe-peechhe yah pukarte huye aane lage, “hey daavid ke vanshaj, hum par daya kar.”
28 jab woh ghar ke andar gaya, to woh andhe aadmi uske paas aaye. tab yeeshu ne unse poochha, “kya tumhein vishvas hai ki main yah kar sakta hoon?”+ unhonne javab diya, “haan, prabhu.”
29 tab usne unki aankhon ko chhookar+ kaha, “jaisa tumne vishvas kiya hai, tumhare liye vaisa hi ho.”
30 aur woh apni aankhon se dekhne lage. fir yeeshu ne unhein chetavni di, “dekho, is baare mein kisi ko mat batana.”+
31 magar baahar jaane ke baad unhonne poore ilake mein uske baare mein bata diya.
32 fir jab woh baahar jaa rahe the to dekho! log uske paas ek goonge aadmi ko le aaye, jismein ek dusht swargdoot samaya tha.+
33 jab dusht swargdoot nikaal diya gaya, to woh aadmi bolne laga.+ yah dekhkar bheed hairan reh gayi aur kehne lagi, “israel mein aisa kabhi nahin dekha gaya.”+
34 magar fareesi kehne lage, “yah to dusht swargdooton ke raja ki madad se dusht swargdoot paayenge hai.”+
35 yeeshu sab shehron aur gaanvon ka daura karne nikala aur woh unke sabha-gharon mein sikhata aur raaj ki khushkhabri ka prachar karta gaya. woh har tarah ki beemari aur shareer ki kamzori door karta raha.+
36 jab usne bheed ko dekha to woh tadap utha,+ kyonki woh aisi bhedon ki tarah the jinki khaal khinch li gayi ho aur jinhein bin charvahe ke yahaan-vahaan bhatakne ke liye chhod diya gaya ho.+
37 tab usne apne chelon se kaha, “beshak, katai ke liye fasal bahot hai magar mazdoor thode hain.+
38 isliye khet ke maalik se binti karo ki woh katai ke liye aur mazdoor bheje.”+
kai footnote
^ ya “mez se tek lagaye baitha tha.”
^ ya “mez se tek lagaye baithe the.”
^ ya “dandvat.”