nirgaman 15:1-27

  • moosa aur israel ka vijay geet (1-19)

  • javab mein miryam ne geet gaaya (20, 21)

  • kadva paani meethe mein badla (22-27)

15  fir moosa aur israeliyon ne yahova ke liye yah geet gaaya:+ “main yahova ke liye geet gaaunga kyonki usne shaandar jeet haasil ki hai.+ ghode ke saath ghudsavaar ko usne gehre samundar mein feink diya hai.+   yaah* meri taakat hai, mera bal hai kyonki woh mera uddhaar karta hai.+ vahi mera parmeshvar hai, main uski taareef karoonga,+ woh mere pita ka parmeshvar hai,+ main uski badai karoonga.+   yahova ek shaktishali yoddha hai.+ yahova uska naam hai.+   firaun ke rathon aur uski fauj ko usne samundar mein jhatak diya,+uske bade-bade soorma laal saagar mein doob gaye.+   ufanti lehron ne unhein dhaanp liya, woh gehrai mein aise doob gaye maano patthar hon.+   hey yahova, tere daayen haath mein aseem taakat hai,+hey yahova, tera daayaan haath dushman ko chaknachoor kar sakta hai.   mahanta mein tera koi saani nahin, tere khilaf uthnevalon ko tu uthakar patak sakta hai.+tu apne krodh ki aag barsata hai aur woh ghaas-foos ki tarah bhasm ho jaate hain.   tere nathnon ki ek saans se paani ikattha ho gaya,tez dhaarayen thamkar reh gayin,saagar ke beechon-beech ufanti lehrein jam gayin.   dushman ne kaha, ‘main unka peechha karoonga! unhein pakad loonga! main loot ka maal baant loonga jab tak ki mera ji na bhar jaaye! main apni talvar khinchoonga! apne haath se unhein adheen karoonga!’+ 10  toone ek foonk maari aur samundar ne unhein dhaanp liya,+mahasagar mein woh aise doob gaye jaise seesa hon. 11  hey yahova, devtaon mein kaun hai jo teri barabri kar sake?+ kaun hai jo tujh jaisa param-pavitra ho?+ tu aisa parmeshvar hai jiska dar maana jaaye, jiski taareef mein geet gaaye jaayen, tu hi bade-bade ajoobe karta hai.+ 12  toone apna daayaan haath badhaya aur dharti un sabko nigal gayi.+ 13  apne atal pyar ki vajah se toone apne chhudaye huye logon ko raah dikhayi hai,+tu apni shakti se unhein apne pavitra nivas tak le chalega. 14  deshon ke log yah khabar suneinge+ aur thartharayenge,palisht ke rehnevalon ko dar aur chinta jakad legi. 15  us vakt edom ke shekh* dar jaayenge,moab ke taakatvar shaasak* thar-thar kaanpeinge.+ kanaan ke sabhi nivasiyon ka dil baith jaayega.+ 16  un sab par dar aur khauf chhaa jaayega.+ tere baazuon ki taakat dekhkar woh patthar ki tarah sunna reh jaayenge,jab tak ki hey yahova, tere log paar na nikaal jaayen,woh log, jinhein tu vajood mein laaya hai,+ paar na nikaal jaayen.+ 17  tu unhein laakaar apni virasat ke pahad par lagayega,+hey yahova, us jagah par jo toone apne nivas ke liye taiyar ki hai,hey yahova, us pavitra-sthan par jise toone apne haathon se banaya hai. 18  yahova raja hai, woh yug-yug tak raaj karta rahega.+ 19  jab firaun ke ghode, yuddh-rath aur ghudsavaar samundar mein utre,+to yahova ne samundar ka paani un par palat diya,+magar israeli samundar ke beech sookhi zameen par chalkar paar ho gaye.”+ 20  fir haaroon ki behen miryam, jo ek bhavishyavaktin thi, haath mein dafli liye saamne aayi. aur baaki sabhi aurtein dafli bajati aur naachti hui miryam ke peechhe nikaal padin. 21  aadmiyon ke gaane ke javab mein miryam yah gaati thi: “yahova ke liye geet gaao kyonki usne shaandar jeet haasil ki hai.+ ghode ke saath ghudsavaar ko usne gehre samundar mein feink diya hai.”+ 22  baad mein moosa israeliyon ko laal saagar se aage le gaya. woh shoor veerane mein pahunche aur vahaan teen din tak chalte rahe. ab tak unhein kahin bhi paani nahin mila tha. 23  jab woh maara* naam ki jagah pahunche+ to vahaan unhein paani mila, magar paani itna kadva tha ki woh pi na sake. iseeliye usne us jagah ka naam maara rakha. 24  tab log moosa ke khilaf yah kehkar kudkudane lage,+ “ab hum kya peeyenge?” 25  fir moosa ne yahova ko pukara+ aur yahova ne use ek chhota ped dikhaya. moosa ne jab woh ped uthakar paani mein feinka to paani meetha ho gaya. vahaan parmeshvar ne logon ko ek niyam aur nyay-siddhaant diya aur unhein parkha.+ 26  usne kaha, “tum apne parmeshvar yahova ki baat sakhti se maanna aur vahi karna jo uski nazron mein sahi hai, uski aagyaon par dhyan dena aur uske sabhi niyamon ka paalan karna.+ agar tum aisa karoge to main tum par aisi koi beemari nahin laaunga jo main misriyon par laaya tha.+ main yahova tumhein swasth karta hoon.”+ 27  iske baad woh eleem aaye jahaan paani ke 12 sote aur 70 khajoor ke ped the. unhonne vahin paani ke paas dera daala.

kai footnote

“yaah” yahova naam ka chhota roop hai.
shekh, gotra ka pradhan tha.
ya “taanashah.”
matlab “kadvahat.”