utpatti 2:1-25

  • parmeshvar saatvein din vishram karta hai (1-3)

  • yahova ne aakash aur prithvi banayi (4)

  • adan ke baag mein aadmi aur aurat (5-25)

    • aadmi mitti se racha gaya (7)

    • gyaan ke ped se khaane ki manahi (15-17)

    • aurat ki srishti (18-25)

2  is tarah aakash aur prithvi aur jo kuch unmein hai, un sabko* banane ka kaam poora hua.+  parmeshvar jo kaam kar raha tha,* use saatvein din se pehale usne poora kar diya. saara kaam poora karne ke baad saatvein din usne vishram karna shuroo kiya.+  parmeshvar ne saatvein din par aasheesh di aur ailan kiya ki yah din pavitra hai, kyonki is din se parmeshvar srishti ke saare kaamon se vishram le raha hai. parmeshvar ne apne maksad ke mutabik jo-jo banana chaha tha uski srishti kar li thi.  yah us vakt ka byaura hai jab aakash aur prithvi ki srishti ki gayi thi, woh din jab yahova* parmeshvar ne prithvi aur aakash ko banaya tha.+  maidan mein ab tak jhaadiyaan aur paudhe nahin uge the, kyonki yahova parmeshvar ne dharti par paani nahin barsaya tha aur zameen jotne ke liye koi insan nahin tha.  magar dharti se kohra uthta aur saari zameen ko sinchta tha.  yahova parmeshvar ne zameen ki mitti se aadmi ko racha+ aur uske nathnon mein jeevan ki saans foonki.+ tab woh jeeta-jaagta insan* ban gaya.+  yahova parmeshvar ne poorab ki taraf, adan naam ke ilake mein ek baag lagaya+ aur vahaan usne aadmi ko basaya jise usne racha tha.+  yahova parmeshvar ne zameen se har tarah ke ped ugaye jo dikhne mein sundar aur khaane ke liye achhe the. usne baag ke beech mein jeevan ka ped+ aur achhe-bure ke gyaan ka ped+ bhi lagaya. 10  adan se ek nadi behti thi jo baag ko sinchti thi aur woh aage jaakaar chaar nadiyon mein bat gayi. 11  pehali nadi ka naam hai peeshon. yah vahi nadi hai jo haveela desh ke chaaron taraf behti hai jahaan sona paaya jaata hai. 12  us desh ka sona badhiya hota hai. vahaan guggul paudhe ka gond aur sulemani patthar bhi paaya jaata hai. 13  doosri nadi ka naam geehon hai. yah vahi nadi hai jo koosh desh ke chaaron taraf behti hai. 14  teesri nadi ka naam hiddekel* hai.+ yahi nadi ashshoor desh+ ke poorab mein behti hai. aur chauthi nadi farat hai.+ 15  yahova parmeshvar ne aadmi ko lekar adan ke baag mein basaya taaki woh usmein kaam kare aur uski dekhbhal kare.+ 16  yahova parmeshvar ne aadmi ko yah aagya bhi di, “tu baag ke harek ped se ji-bharkar khaa sakta hai.+ 17  magar achhe-bure ke gyaan ka jo ped hai uska fal tu hargiz na khaana, kyonki jis din tu uska fal khaayega us din zaroor mar jaayega.”+ 18  fir yahova parmeshvar ne kaha, “aadmi ke liye yah achha nahin ki woh akela hi rahe. main uske liye ek madadgar banaunga, aisa saathi jo usse mel khaaye.”+ 19  yahova parmeshvar zameen ki mitti se maidan ke sab jangli jaanvar aur aasman mein udnevale saare jeev banata jaa raha tha. woh unhein aadmi ke paas laane laga taaki dekhe ki aadmi harek ko kya naam deta hai. aadmi ne un jeev-jantuon ko jis-jis naam se pukara vahi unka naam ho gaya.+ 20  is tarah aadmi ne sabhi paaltoo jaanvaron, aasman mein udnevale jeevon aur maidan ke sabhi jangli jaanvaron ke naam rakhe. magar jahaan tak aadmi ki baat thi, uske liye koi saathi aur madadgar nahin tha jo usse mel khaata. 21  isliye yahova parmeshvar ne aadmi ko gehri nind sula diya aur jab woh so raha tha, to uski ek pasli nikaali aur fir cheera band kar diya. 22  aur yahova parmeshvar ne aadmi se jo pasli nikaali thi, usse ek aurat banayi aur use aadmi ke paas le aaya.+ 23  tab aadmi ne kaha, “aakhirkar yah woh hai jiski haddiyaan meri haddiyon se rachi gayi hain,jiska maans mere maans se banaya gaya hai. yah nar mein se nikaali gayi hai,isliye yah naari kehlayegi.”+ 24  is vajah se aadmi apne maata-pita ko chhod dega aur apni patni se juda rahega* aur woh donon ek tan honge.+ 25  aadmi aur uski patni donon nange the,+ fir bhi woh sharm mehsoos nahin karte the.

kai footnote

shaa., “aur unki saari sena ko.”
ya “jo bana raha tha.”
parmeshvar ka yah bejod naam יהוה (y-h-v-h) pehali baar is aayat mein aata hai. ati. k4 dekhein.
shabdavli mein “jeevan” dekhein.
ya “tigris.”
ya “ke saath hi rahega.”