yashayah 33:1-24

  • nek janon ke liye aasha aur insaf (1-24)

    • yahova nyayi, kaanoon denevala aur raja hai (22)

    • koi nahin kahega, “main beemar hoon” (24)

33  hey naash karnevale, tu jiska naash nahin kiya gaya,+hey vishvasghati, tu jiske saath vishvasghat nahin kiya gaya, dhikkar hai tujh* par! jab tu naash karna band kar dega, tab tera naash kiya jaayega,+jab tu vishvasghat karna band kar dega, tab tere saath vishvasghat hoga.   hey yahova, hum par daya kar!+ hamari aasha tujh par lagi hai. har subah hamari taakat* ban,+haan, museebat ke vakt hamara uddharkarta ban jaa.+   tera garjan sunkar desh-desh ke log bhaag khade hote hain, tere uthte hi raashtra titar-bitar ho jaate hain.+   jaise bhookhi tiddiyaan aakaar poore desh par toot padti hain,vaise hi doosre aakaar tumhare loot ke maal par toot padeingeaur tiddiyon ke jhund ki tarah use poori tarah chat kar jaayenge.   yahova ko uncha kiya jaayega,kyonki woh unche par virajman hai. woh siyyon ko nyay aur neki se bhar dega.   un dinon* woh mazbooti dega,bade paimane par uddhaar,+ buddhi, gyaan aur yahova ka dar dega.+yahi tumhara khazana hoga.*   dekho! unke* shoorveer sadkon par dukh ke maare chilla rahe hain,shaanti ka sandesh le jaanevale doot fut-futkar ro rahe hain.   raajmarg sunsan pade hain,raaston par koi raahgeer nazar nahin aa raha. usne* karar tod diya hai,usne shehron ko thukra diya hai,uski nazar mein insan kuch bhi nahin.+   desh shok mana raha hai* aur murjha raha hai,labanon sharminda hai,+ woh sadta jaa raha hai, shaaron ke maidan registan ban gaye hain,baashaan aur karmel ke patte jhad rahe hain.+ 10  yahova kehta hai, “ab main uthoonga,khud ko uncha karoonga,+ apni mahima karoonga. 11  tumhari kokh mein sookhi ghaas palegi aur tum bhoose ko janm doge, tumhare man ka jhukav aag ki tarah tumhein bhasm kar dega.+ 12  desh-desh ke log jale huye choone ki tarah ho jaayenge, unhein kanteeli jhaadiyon ki tarah kaatkar aag mein jhonk diya jaayega.+ 13  hey door-door ke ilakon mein rehnevalo, suno main kya karnevala hoon! hey aas-paas ke rehnevalo, meri taakat pehchano! 14  siyyon mein gunahgar ghabraye huye hain,+parmeshvar se munh modnevale thar-thar kaanp rahe hain. woh ek-doosre se kehte hain,‘bhasm karnevali aag ke saamne kaun tik sakta hai?+ kabhi na bujhnevali lapton ke aage kaun khada reh sakta hai?’ 15  jo neki ki raah par bana rehta hai,+jo seedhi-sachchi baatein bolta hai,+jo dhokhadhadi aur beimani ki kamai thukrata hai,jo rishvat par jhapatne ke bajay apna haath rok leta hai,+jo khoon-kharba karne ki saazish sunkar kaan band kar leta hai,jo burai dekhne se apni aankhein moond leta hai, 16  aisa insan unchi jagahon par rahega,chattan par bana mazboot* gadh uski panah hoga,use roti milti rahegiaur kabhi paani ki kami na hogi.”+ 17  tumhari aankhein raja ko uski poori shaan mein dekheingiaur desh ko door se nihareingi. 18  tum man mein us khaufnak vakt ko yaad karte* huye kahoge,“shaastri kahaan gaya? kar denevala kahaan gaya?+ meenaron ko ginnevala kahaan gaya?” 19  tum un ghamandiyon ko fir kabhi na dekhoge,haan, un logon ko jinki ajeebo-gareeb zaban tum nahin samajhte,jinki bhasha samajh se pare hai.+ 20  siyyon ko dekh! us shehar ko dekh, jahaan hum apne tyohar manate hain.+ yarooshalem ek aisi jagah ban jaayega, jahaan hum aman-chain se raheinge,woh aisa tamboo ban jaayega jise kabhi nahin giraya jaayega,+uski khoontiyaan nahin nikaali jaayengi,na uski koi rassi kaati jaayegi. 21  vahaan mahapratapi yahova,hamari nadi aur hamari nahar bankar raksha karega.chahe jahazon* ka lashkar hamare khilaf aaye,woh unhein paar nahin hone dega,bade-bade jahazon ko nahin guzarne dega. 22  kyonki yahova hamara nyayi hai,+yahova hamara kaanoon denevala hai,+yahova hamara raja hai,+vahi hamein bachayega.+ 23  dushman ke jahazon ki rassiyaan* dheeli ho jaayengi,na to mastool khada ho paayega, na hi paal fail sakega. us vakt loot ka itna maal baanta jaayegaki langde bhi aakaar bahot-saa maal le jaayenge.+ 24  desh ka koi nivasi na kahega, “main beemar hoon.”+ kyonki usmein rehnevalon ka paap maaf kiya jaayega.+

kai footnote

yahaan ashshoor ki baat ki gayi hai.
shaa., “baazoo.”
ya shaayad, “yahi parmeshvar ka diya khazana hoga.”
shaa., “tumhare dinon mein.”
zahir hai, yahooda ke.
yahaan dushman ki baat ki gayi hai.
ya shaayad, “sookh gaya hai.”
ya “uncha.”
ya “ke baare mein gehrai se sochte.”
ya “chappoovale jahazon.”
shaa., “teri rassiyaan.”