yirmayah 23:1-40
23 yahova ailan karta hai, “dhikkar hai un charvahon par jo mere charagah ki bhedon ko naash kar rahe hain, unhein titar-bitar kar rahe hain!”+
2 isliye israel ka parmeshvar yahova apne logon ke charvahon ko yah sandesh sunata hai: “tumne meri bhedon ko titar-bitar kar diya hai, unhein bikhra diya hai aur un par koi dhyan nahin diya.”+
yahova ailan karta hai, “tumhare dusht kaamon ki vajah se ab main tumhein saza doonga.”
3 “iske baad main apni bachi hui bhedon ko un sabhi deshon se ikattha karoonga, jahaan mainne unhein titar-bitar kar diya.+ main unhein vaapas unke charagah mein le aaunga+ aur woh foole-faleingi aur ginti mein badh jaayengi.+
4 main unke liye aise charvahe khade karoonga jo vaakai charvahon ki tarah unki dekhbhal kareinge.+ iske baad meri bhedein na dareingi na ghabraayengi, unmein se ek bhi gum nahin hogi.” yahova ka yah ailan hai.
5 yahova ailan karta hai, “dekh, woh din aa rahe hain jab main daavid ke vansh se ek nek ankur* ugaunga.+ woh raja bankar raaj karega+ aur androoni samajh se kaam lega. woh desh mein nyay karega.+
6 uske dinon mein yahooda bachaya jaayega+ aur israel mehfooz basa rahega.+ woh raja is naam se kehlaya jaayega, ‘yahova hamari neki hai.’”+
7 yahova ailan karta hai, “magar aise din aa rahe hain jab woh fir kabhi nahin kaheinge, ‘yahova ke jeevan ki shapath jo israeliyon ko misra desh se nikaal laaya tha!’+
8 iske bajay woh kaheinge, ‘yahova ke jeevan ki shapath jo israel ke gharane ke vanshajon ko uttar ke desh se aur un sabhi deshon se nikaalkar vaapas laaya tha jahaan usne unhein titar-bitar kar diya tha.’ fir woh apne hi desh mein base raheinge.”+
9 bhavishyavaktaon ke liye yah sandesh hai:
mera dil toot gaya hai.
meri saari haddiyaan kaanp rahi hain.
yahova aur uske pavitra sandesh ki vajah semeri haalaat aise aadmi ki tarah hai jo nashe mein hai,jise daakh-madira ne kaaboo mein kar liya hai.
10 kyonki saara desh badchalan logon se bhara hai,+desh par aisa shaap pada hai ki yah maatam mana raha hai,+veerane ke charagah sookh gaye hain.+
unke taur-tareeke bure hain, woh apne adhikar ka galat istemal karte hain.
11 yahova ailan karta hai, “bhavishyavakta aur yaajak, donon dooshit* ho gaye hain.+
yahaan tak ki mainne apne bhavan mein unhein dusht kaam karte dekha hai.”+
12 yahova ailan karta hai, “isliye unka raasta fislan bhara aur andhera ho jaayega,+unhein dhakelkar gira diya jaayega.
jis saal unse hisab liya jaayega,main un par vipatti laaunga.”
13 “saamriya+ ke bhavishyavaktaon mein mainne ghinauni baatein paayi hain.
woh baal ke naam se bhavishyavani karte hain,meri praja israel ko gumrah karte hain.
14 mainne yarooshalem ke bhavishyavaktaon ko ghinaune kaam karte dekha hai.
woh vyabhichar karte hain,+ unki poori zindagi ek jhooth hai,+woh dushton ko badhava dete hain,woh apni dushtata nahin chhodte.
meri nazar mein woh sabhi sadom jaise hain,+is nagri ke log amora jaise hain.”+
15 isliye senaon ka parmeshvar yahova bhavishyavaktaon ke khilaf yah sandesh sunata hai:
“dekh, main unhein naagdauna khaane par majboor karoonga,zehar mila paani pilaunga.+
kyonki yarooshalem ke bhavishyavaktaon se hi poore desh mein parmeshvar ke khilaf bagavat fail gayi hai.”
16 senaon ka parmeshvar yahova kehta hai,
“tum un bhavishyavaktaon ki baatein mat suno jo tumhein bhavishyavaniyaan suna rahe hain.+
woh tumhein bhram mein daal rahe hain.*
woh jo darshan batate hain, woh yahova ki taraf se nahin hai,+balki unke man ki gadhi hui baatein hain.+
17 mera anadar karnevalon se woh baar-baar kehte hain,‘yahova ne kaha hai, “tum sukh-chain se jeeyoge.”’+
aur jo koi apne dheeth man ki karta hai, usse woh kehte hain,‘tujh par koi vipatti nahin aayegi.’+
18 kaun yahova ke doston ki mandli mein khada hua haitaaki uska sandesh sune aur samjhe?
kisne uska sandesh suna aur us par dhyan diya hai?
19 dekho! yahova ke krodh ki bhayanak aandhi chalegi,uska krodh bavandar ki tarah dushton ke sir par mandrayega.+
20 yahova ka krodh tab tak nahin talega,jab tak ki woh us kaam ko poora nahin kar leta,use anjam nahin deta jo usne man mein thaana hai.
aakhiri dinon mein tum log ise achhi tarah samjhoge.
21 mainne un bhavishyavaktaon ko nahin bheja, fir bhi woh daudkar gaye.
mainne unse baat nahin ki, fir bhi unhonne bhavishyavani ki.+
22 agar woh mere doston ki mandli mein khade hote,to unhonne mere logon ko mera sandesh sunaya hota,unhein bure raaste se aur dusht kaamon se fer liya hota.”+
23 yahova ailan karta hai, “kya main sirf nazdeek ka parmeshvar hoon, door ka nahin?”
24 yahova ailan karta hai, “kya aisi koi gupt jagah hai jahaan insan chhip jaaye aur main use dekh na sakoon?”+
yahova ailan karta hai, “kya aakash mein aur dharti par aisi koi cheez hai jo meri nazron se bach sake?”+
25 “mainne bhavishyavaktaon ko mere naam se yah jhoothi bhavishyavani karte suna hai, ‘mainne ek sapna dekha hai, ek sapna!’+
26 kab tak in bhavishyavaktaon ka man unse jhooth bulvata rahega? woh apne man mein chhal ki baatein gadhkar bhavishyavani sunate hain.+
27 woh ek-doosre ko sapne batate hain taaki mere log mera naam bhool jaayen, theek jaise unke baap-daade baal ki vajah se mera naam bhool gaye the.+
28 jis bhavishyavakta ko sapna aaya hai use apna sapna batane do, magar jis kisi ne mera vachan suna hai woh mera vachan sach-sach sunaye.”
yahova ailan karta hai, “kahaan ghaas-foos aur kahaan anaj?”
29 yahova ailan karta hai, “kya mera sandesh aag jaisa nahin hai?+ aise hathaude jaisa nahin hai jo badi chattan ko choor-choor kar deta hai?”+
30 yahova ailan karta hai, “isliye main in bhavishyavaktaon ko saza doonga, jo mere shabdon ko tod-marodkar apne man-mutabik logon ko batate hain.”+
31 yahova ailan karta hai, “main in bhavishyavaktaon ko saza doonga jinki jeebh kehti hai, ‘parmeshvar ne yah ailan kiya hai!’”+
32 yahova ailan karta hai, “main in bhavishyavaktaon ko saza doonga, jo jhoothe sapne dekhte hain aur mere logon ko sunate hain aur jhoothi baatein kehkar aur shekhi maarkar mere logon ko gumrah karte hain.”+
yahova ailan karta hai, “magar mainne unhein nahin bheja tha, na hi unhein aagya di thi. isliye woh in logon ka bilkul bhi bhala nahin kareinge.”+
33 “jab ye log ya koi bhavishyavakta ya yaajak tujhse poochhe, ‘yahova ka bojh* kya hai?’ to tu unse kehna, ‘yahova ailan karta hai, “tum log hi woh bojh ho! main tumhein uthakar feink doonga.”’+
34 jo bhavishyavakta ya yaajak ya logon mein se koi kehta hai, ‘yah yahova ka bojh* hai!’ main use aur uske gharane ko saza doonga.
35 tummein se har koi apne saathi aur bhaai se kehta hai, ‘yahova ne kya javab diya hai? yahova ne kya kaha hai?’
36 magar tum log yahova ke bojh* ka ab se zikra mat karna, kyonki tum mein se harek ka bojh* uska apna sandesh hai. tumne senaon ke parmeshvar aur hamare jeevit parmeshvar yahova ke sandesh ko badal diya hai.
37 tu bhavishyavaktaon se kehna, ‘yahova ne kya javab diya hai? yahova ne kya kaha hai?
38 agar tum yah kehte rahoge, “yah yahova ka bojh* hai!” to suno yahova tumse kya keh raha hai, “mainne tumse kaha tha ki tum yah mat kehna, ‘yah yahova ka bojh* hai!’ fir bhi tum kehte ho, ‘yah sandesh yahova ka bojh* hai!’
39 isliye dekho, main tumhein uthakar apni nazron se door feink doonga, tumhein aur is shehar ko bhi feink doonga jo mainne tumhein aur tumhare purkhon ko diya tha.
40 main tumhein hamesha ke liye beizzat karoonga aur neecha dikhaunga aur yah kabhi nahin bhulaya jaayega.”’”+
kai footnote
^ ya “vaaris.”
^ ya “bagavti.”
^ ya “woh tujhe jhoothi aasha se bhar rahe hain.”
^ ya “bhaari sandesh.” iske ibrani shabd ke do matlab hain: “parmeshvar ki taraf se bhaari sandesh” aur “koi bhaari cheez.”
^ ya “bhaari sandesh.”
^ ya “bhaari sandesh.”
^ ya “bhaari sandesh.”
^ ya “bhaari sandesh.”
^ ya “bhaari sandesh.”
^ ya “bhaari sandesh.”