yuhanna ke mutabik khushkhabri 8:12-59
8 12 yeeshu ne ek baar fir logon se baat ki aur kaha, “main duniya ki raushni hoon.+ jo mere peechhe chalta hai woh hargiz andhkar mein na chalega, magar jeevan ki raushni uske paas hogi.”+
13 tab fareesiyon ne usse kaha, “tu khud apne baare mein gavahi deta hai, isliye teri gavahi sachchi nahin hai.”
14 yeeshu ne unse kaha, “agar main apne baare mein gavahi deta hoon, to bhi meri gavahi sachchi hai kyonki main jaanta hoon ki main kahaan se aaya hoon aur kahaan jaa raha hoon.+ magar tum nahin jaante ki main kahaan se aaya hoon aur kahaan jaa raha hoon.
15 tum insani nazariye* se nyay karte ho,+ magar main kisi ka nyay nahin karta.
16 aur agar nyay karta bhi hoon, to mera nyay sachcha hai kyonki main akela nahin hoon balki pita mere saath hai jisne mujhe bheja hai.+
17 tumhare apne kaanoon mein bhi likha hai, ‘do logon ki gavahi sachchi maani jaaye.’+
18 ek main khud hoon jo apne baare mein gavahi deta hoon aur doosra pita hai jisne mujhe bheja hai, woh mere baare mein gavahi deta hai.”+
19 tab unhonne kaha, “kahaan hai tera pita?” yeeshu ne javab diya, “tum na to mujhe jaante ho, na hi mere pita ko.+ agar tum mujhe jaante, to mere pita ko bhi jaante.”+
20 ye baatein usne mandir mein daan-paatron+ ke paas sikhate vakt kahi thi. magar kisi ne use nahin pakda, kyonki uska vakt abhi nahin aaya tha.+
21 yeeshu ne ek baar fir unse kaha, “main jaa raha hoon aur tum mujhe dhoondhoge. magar tum apni paapi haalaat mein maroge.+ jahaan main jaa raha hoon vahaan tum nahin aa sakte.”+
22 isliye yahoodi kehne lage, “kya yah apni jaan lenevala hai? kyonki yah kah raha hai, ‘jahaan main jaa raha hoon vahaan tum nahin aa sakte.’”
23 isliye woh unse kehne laga, “tum neeche ke ho aur main oopar ka hoon.+ tum is duniya ke ho aur main is duniya ka nahin.
24 isliye mainne tumse kaha ki tum apni paapi haalaat mein maroge. kyonki agar tum is baat par yakeen nahin karte ki main vahi hoon, to tum apni paapi haalaat mein maroge.”
25 tab woh usse kehne lage, “tu hai kaun?” yeeshu ne unse kaha, “tumse baat karne ka kya faayda, jab tum meri baat hi nahin samajh rahe?
26 tumhare baare mein mujhe bahot-si baatein kehni hain aur bahot-se maamlon ka nyay karna hai. sach to yah hai ki jisne mujhe bheja hai woh sachcha hai aur jo baatein mainne usse sunin, vahi main duniya mein bata raha hoon.”+
27 woh nahin samajh paaye ki yeeshu unse pita ke baare mein baat kar raha hai.
28 isliye yeeshu ne kaha, “jab tum insan ke bete ko unche par chadha chuke hoge,+ to tum jaan loge ki main vahi hoon.+ main apni marzee se kuch bhi nahin karta,+ balki jaisa pita ne mujhe sikhaya hai main ye baatein batata hoon.
29 jisne mujhe bheja hai woh mere saath hai. usne mujhe akela nahin chhoda, kyonki main hamesha vahi karta hoon jisse woh khush hota hai.”+
30 jab woh ye baatein bol raha tha, to bahoton ne us par vishvas kiya.
31 tab yeeshu un yahoodiyon se jinhonne us par yakeen kiya tha, kehne laga, “agar tum hamesha meri shikshaon ko maanoge, to tum sachmuch mere chele thehroge.
32 tum sachchai ko jaanoge+ aur sachchai tumhein aazad karegi.”+
33 unhonne usse kaha, “hum abraham ke vanshaj hain aur kabhi kisi ke gulam nahin rahe. to fir tu kaise kah sakta hai ki tum aazad ho jaaoge?”
34 yeeshu ne unhein javab diya, “main tumse sach-sach kehta hoon, har koi jo paap karta hai woh paap ka gulam hai.+
35 aur gulam ghar mein hamesha tak nahin rehta, magar beta hamesha tak rehta hai.
36 isliye agar beta tumhein aazad kare, to tum sachmuch aazad ho jaaoge.
37 main jaanta hoon ki tum abraham ke vanshaj ho. magar tum mujhe maar daalne ki taak mein ho, kyonki meri baatein tumhare dilon mein jad nahin pakadtin.
38 main vahi kehta hoon jo mainne apne pita ke paas rehkar dekha hai,+ jabki tum woh karte ho jo tumne apne pita se suna hai.”
39 yahoodiyon ne usse kaha, “hamara pita to abraham hai.” yeeshu ne unse kaha, “agar tum abraham ke vanshaj+ hote, to abraham jaise kaam karte.
40 magar tum to mujhe maar daalna chahte ho, ek aise insan ko, jisne tumhein woh sachchai batayi jo usne parmeshvar se suni hai.+ abraham ne to aisa nahin kiya tha.
41 tum apne pita jaise kaam karte ho.” unhonne kaha, “hum naajayaz* aulad nahin. hamara ek hi pita hai, parmeshvar.”
42 yeeshu ne unse kaha, “agar parmeshvar tumhara pita hota, to tum mujhse pyar karte+ kyonki main parmeshvar ki taraf se aaya hoon aur yahaan hoon. main apni marzee se nahin aaya, balki usi ne mujhe bheja hai.+
43 tum meri baat samajh kyon nahin rahe? isliye ki tum meri baat maanna hi nahin chahte.
44 tum apne pita shaitan* se ho aur apne pita ki khvahishein poori karna chahte ho.+ woh shuroo se hi hatyara hai+ aur sachchai mein tika nahin raha, kyonki sachchai usmein hai hi nahin. jab woh jhooth bolta hai to apni fitrat ke mutabik bolta hai, kyonki woh jhootha hai aur jhooth ka pita hai.+
45 magar doosri taraf, main tumhein sachchai batata hoon isliye tum mera yakeen nahin karte.
46 tummein se kaun mujhe paapi saabit kar sakta hai? aur agar main sach bol raha hoon, to tum mera yakeen kyon nahin karte?
47 jo parmeshvar ki taraf se hai woh parmeshvar ki baatein sunta hai.+ tum iseeliye meri baat nahin sunte kyonki tum parmeshvar ki taraf se nahin ho.”+
48 yahoodiyon ne usse kaha, “kya hum sahi nahin kehte ki tu ek saamri hai+ aur tere andar ek dusht swargdoot hai?”+
49 yeeshu ne javab diya, “mere andar koi dusht swargdoot nahin magar main apne pita ka aadar karta hoon aur tum mera anadar karte ho.
50 main apni mahima nahin chahta,+ magar ek hai jo chahta hai aur vahi nyayi hai.
51 main tumse sach-sach kehta hoon, agar koi mere vachan par chalta hai to woh kabhi maut ka munh nahin dekhega.”+
52 yahoodiyon ne usse kaha, “ab hamein zara bhi shak nahin ki tere andar ek dusht swargdoot hai. abraham mar gaya aur bhavishyavakta bhi mar gaye. magar tu kehta hai, ‘agar koi mere vachnon par chalta hai, to woh kabhi nahin marega.’
53 kya tu hamare pita abraham se bhi badhkar hai? woh to mar gaya aur bhavishyavakta bhi mar gaye. tu kya hone ka daava karta hai?”
54 yeeshu ne javab diya, “agar main apni mahima karoon, to meri mahima kuch bhi nahin. magar mera pita hai jo meri mahima karta hai,+ vahi jise tum apna parmeshvar kehte ho.
55 fir bhi tumne use nahin jaana+ magar main use jaanta hoon.+ agar main kahoon ki main use nahin jaanta, to main tumhare jaisa thehroonga, ek jhootha. magar main use jaanta hoon aur uske vachan par chalta hoon.
56 tumhara pita abraham khushi-khushi aas lagaye tha ki woh mera din dekhega aur usne dekha bhi aur bahot khush hua.”+
57 tab yahoodiyon ne usse kaha, “tu 50 saal ka bhi nahin hua, fir bhi kehta hai mainne abraham ko dekha hai?”
58 yeeshu ne unse kaha, “main tumse sach-sach kehta hoon, main to abraham ke paida hone se pehale se vajood mein hoon.”+
59 tab unhonne yeeshu ko maarne ke liye patthar utha liye. magar woh chhip gaya aur mandir se baahar nikaal gaya.
kai footnote
^ ya “usoolon.”