daan kiye gaye paison ka istemal kaise kiya jaata hai?
ek poori library aapke haath mein
1 sitambar, 2021
2020 ki shaasi nikay ki taraf se report #6 mein bhaai geoffrey jackson ne kaha tha, “kuch saal pehale tak hamne socha bhi nahin tha ki hum apne phone par kitabein-patrikayen padh paayenge.” sach mein, hamein is baat ka zara bhi andaza nahin tha ki ek aisa vakt aayega jab hum apne phone par sabhi prakashan padh paayenge. iske baad bhaai ne kaha, ‘agar JW library jaise app nahin hote, to is mahamari ke dauran hum mushkilon ka saamna kaise kar paate. lekin yahova hamein kai saalon se taiyar kar raha hai taaki hum is mushkil daur ka saamna kar sakein.’
yahova hamein kaise taiyar kar raha hai? JW library app kaise banaya gaya? yah app achhe-se chalta rahe aur ise aur behtar banaya jaa sake, iske liye kya-kya kiya jaata hai?
ek anokha app
mai 2013 ki baat hai. shaasi nikay ne vishva mukhayalay ke meps programing vibhag se kaha ki vaha ek aisa app taiyar kare jis par bhaai-behen nayi duniya anuvad ka naya sanskaran padh sakein. meps programing vibhag ke bhaai paul willies batate hain, “hamne pehale kabhi mobile ke liye koi app nahin banaya tha. isliye is project ke liye hamne ek team banayi. hamne kuch project rok diye aur doosre vibhag ke bhaai-behenon ke saath milkar tay kiya ki yah app kaise banaya jaayega, yah kaisa dikhega aur ismein kya-kya hoga. hum is baare mein prarthna karte rahe. yahova ki aasheesh se paanch maheenon mein hi yah app bankar taiyar ho gaya aur saalana sabha mein ise release kiya gaya!”
us vakt tak is app mein sirf bible thi, lekin hum ismein aur bhi prakashan daalna chahte the, woh bhi kai bhaashaon mein. tabhi to yah ek library kehlati! janvari 2015 ke aate-aate is app par angrezi ke bahot-se prakashan daale jaa chuke the. aur sirf 6 maheene baad bhaai-behen is app par sainkdon bhaashaon mein prakashan download kar sakte the.
tab se lekar ab tak bhaaiyon ne app ko aur bhi behtar banane ke liye bahot kuch kiya hai. ab hum ismein video dekh sakte hain. ismein ek alag bhaag bhi hai jismein hum har hafte sabhaon mein istemal kiye jaanevale prakashan aur video dekh sakte hain. aur bible mein kisi bhi aayat ko dabakar hum dekh sakte hain ki uske baare mein khojbeen guide mein kya jaankari di gayi hai.
app theek-se kaise chal paata hai?
JW library app har din kareeb 80 laakh phone, computer vagairah par khola jaata hai aur har maheene dedh karod se bhi zyada phone, computer vagairah par khola jaata hai. yah app theek-se chalta rahe, iske liye kya-kya kiya jaata hai? bhaai willies batate hain, “ek mobile app achhe-se chalta rahe, iske liye hamesha kuch-na-kuch karte rehna padta hai. hum ismein naye-naye feature daalte rehte hain aur ise aisa banane ki koshish karte hain jisse ki log ise aasani se chala sakein. mobile companyaan apna software update karti rehti hain, isliye hamein bhi apne app mein thode-bahot badlav karte rehne padte hain taaki yah achhe-se chalta rahe. JW library par din-ba-din aur bhi prakashan aur audio-video daale jaa rahe hain, isliye hamein apne software bhi update karte rehne padte hain.” aaj JW library par sainkdon bhaashaon mein prakashan hain. agar in sabhi ko jod diya jaaye, to is par kareeb 2 laakh kitabein-patrikayen aur 6 laakh se bhi zyada audio aur video recording hain!
yah app theek-se chalta rahe aur ismein naye features daale jaa sakein, is sabke liye bahot-se computers ki zaroorat hoti hai. iske alava, kai software bhi chahiye hote hain aur unka istemal karne ke liye unke license khareedne padte hain. jaise ek aisa license hai jiske liye hamein har saal 1,500 amareeki dollar (lagbhag 1 laakh) bharne padte hain. iske alava yah app naye computer, tablet aur phone par theek-se chalega ya nahin, yah pakka iske liye meps programing vibhag har saal kai phone-tablet khareedta hai jismein lagbhag 10,000 amareeki dollar (kareeb 7.5 laakh rupaye) kharch hote hain.
download se huye kai faayde daan ke paison ka sahi istemal
jab se JW library app aaya hai, tab se chhapai ka kharch aur kitabon par kavar chadhane aur unhein alag-alag mandliyon tak pahunchne ka kharch kaafi kam ho gaya hai. jaise hamne 2013 ke liye rozana bible vachnon par dhyan deejiye booklets ki lagbhag 1 karod 20 laakh copyaan chhaapi thi. lekin 2020 ke liye hamne rozana vachan ki kareeb 50 laakh copyaan hi chhaapin, jabki un saat saalon mein 7 laakh pracharak aur badh gaye the. woh isliye ki aajkal zyadatar bhaai-behen rozana vachan JW library app mein hi download karke padhte hain. *
“yah app sach mein kamaal ka hai!”
JW library se bahot-se logon ko faayda hua hai. kanada mein rehnevali genevieve batati hai ki is app ki vajah se ab woh har din adhyan kar paati hai. woh kehti hai, “sach kahoon to agar har subah adhyan karne ke liye mujhe dher saari kitabein nikaalni padtin, to mujhse yah nahin ho paata. lekin is app ki vajah se adhyan karna bahot aasan ho gaya hai. mujhe jo bhi padhna ho, main fat se apne tablet mein khol leti hoon. ab main har subah adhyan karti hoon. isse mera vishvas badh gaya hai aur main yahova ke aur kareeb aa gayi hoon.”
khaaskar covid-19 mahamari ke dauran yah app bahot kaam aaya. amareeka mein rehnevali charlyn is baare mein kehti hai, “covid-19 mahamari ki vajah se mainne ek saal se hamara koi bhi naya prakashan haath mein nahin pakda. lekin JW library mein hamare saare naye prakashan hain. is vajah se hum sab apna vishvas mazboot rakh paaye. yahova ka laakh-laakh shukriya!”
philippines mein rehnevali faye ne is app ke baare mein kaha, “is ek app se main yahova ke kareeb aa paayi hoon. main poore din ise chalati rehti hoon. subah uthte hi main isse padhti hoon. ghar ke kaam karte vakt isse kuch-na-kuch sunti rehti hoon. isi par sabhaon ki taiyari karti hoon. bible adhyan karvane se pehale bhi isi par taiyari karti hoon. khaali vakt ho to is par koi video dekh leti hoon. kahin line mein lagi hoon aur apni baari ka intazar kar rahi hoon, to is par koi lekh ya bible padh leti hoon. yah app sach mein kamaal ka hai!” hum sabhi ko behen faye ki tarah hi lagta hai!
yah app prachar karte vakt bhi bahot kaam aata hai. kaimroon mein rehnevali ek behen batati hain ki yah app kaise unke bahot kaam aaya. ek baar woh ek behen ke saath prachar kar rahi thi aur us behen ne kisi ko ek aayat dikhayi. kuch hafton baad behen bhi prachar karte vakt vahi aayat kisi ko dikhana chahti thi, lekin unhein yaad hi nahin aa raha tha ki woh baat kahaan likhi hai. woh batati hain, “shukra hai mujhe us aayat ke ek-do shabd yaad the. mainne app khola, usmein bible kholi aur khojein baks mein woh shabd likh diye. aur mujhe turant woh aayat mil gayi! main aksar bhool jaati hoon ki kaun-si baat kis aayat mein likhi hai, par is app se main aasani se aaytein dhoondh leti hoon.”
aap donate.dan124.com par alag-alag tareekon se jo daan karte hain, us vajah se hum duniya-bhar mein bhaai-behenon ke liye JW library app bana paaye hain aur ise aur bhi behtar bana rahe hain. aapka bahot-bahot dhanyavad!
JW library ke khaas mukam ab tak ka safar
aktoobar 2013—app nikala gaya jismein nayi duniya anuvad bible thi
janvari 2015—angrezi ke kai prakashan daale gaye, fir sainkdon aur bhaashaon mein bhi daale gaye
navambar 2015—nishan lagane ka feature daala gaya
mai 2016—sabhaon ke liye ek bhaag banaya gaya
mai 2017—note likhne ka feature daala gaya
disambar 2017—adhyan bible daali gayi adhyan bible mein diye gaye note, tasveerein aur video dekhne ka feature daala gaya
maarch 2019—audio recording download karne, streaming par video dekhne aur aayton se khojbeen guide par di jaankari dekhne ka feature daala gaya
janvari 2021—khushi se jeeyen hamesha ke liye! kitab aur brochure se seedhe audio sunnae, video dekhne aur lekh padhne ka feature daala gaya
^ jab bhi JW library app par se kuch download kiya jaata hai, to usmein kuch kharcha hota hai. jaise pichhle saal sanghathan ne 15 laakh amareeki dollar (kareeb 11 karod rupaye) se bhi zyada kharch kiye taaki log jw.org se aur JW library se prakashan streaming par dekh sakein aur download kar sakein. fir bhi prakashan download karne mein jo kharcha aata hai, woh us kharche ke mukable bahot kam hai jo kitabein-patrikayen chhaapne aur cd, dvd banane aur unhein bhejne mein hota hai.