satark rahiye!
poori duniya mein badhti mehangai—is baare mein pavitra shastra mein kya likha hai?
world bank group ke adhyaksh ne joon 2022 ki ek report mein kaha, “poori duniya ki arthavyavastha ek baar fir dagmaga rahi hai. ek to mehangai aasman chhoo rahi hai, oopar se logon ko ghar chalane ke liye paise kam pad rahe hain.”
antar-rashtreeya mudrakosh ka kehna hai, “petrol-diesel aur khaane-peene ki cheezon ke daam tezi se badh rahe hain. aur sabse zyada gareeb desh ke log iski maar jhel rahe hain.”
aakhir mehangai aur paison ki samasya kyon itni badh rahi hai? aise mein hum kya kar sakte hain? aur kya kabhi aisa vakt aayega jab in samasyaon ko jad se mita diya jaayega? bible se aapko in savalon ke javab mileinge.
“aakhiri dinon” mein badhti mehangai
hum jis samay mein ji rahe hain, use bible mein ‘aakhiri din’ kaha gaya hai.—2 timuthiyus 3:1.
yeeshu ne kaha tha ki aakhiri dinon mein “khaufnak nazare” dikhayi deinge yaani aisi ghatnayen hongi jinse hamara dil dehal jaayega. (luka 21:11) aur aisa hi ho raha hai. badhti mehangai se logon ka dar badhta jaa raha hai. unhein din-raat yahi chinta satati hai ki ‘pata nahin aage kya hoga. kya main apne parivar ke liye do vakt ki roti bhi juta paaunga?’
prakashitvakya ki kitab mein bataya gaya hai ki aakhiri dinon mein khaane-peene ki cheezein mehangi hoti jaaayengi. ismein likha hai, ‘mujhe ek aavaz sunayi padi jo keh rehi thi, “ek kilo gehoon ya teen kilo jau ek deenar mein.”’ yahaan ek deenar ka matlab hai, ek din ki mazdoori.—prakashitvakya 6:6, footnotee.
“aakhiri dinon” ke baare mein aur prakashitvakya mein di bhavishyavani ke baare mein aur jaanne ke liye,1914 se duniya badal gayi video dekhein aur “chaar ghudsavaar—ye kaun hain?” naam ka lekh padhein.
sabhi aarthik samasyaon ka ek hi upay
“woh ghar banakar usmein baseinge, angooron ke baag lagayenge aur unka fal khaayenge. aisa nahin hoga ki woh ghar banayen aur koi doosra usmein rahe, woh baag lagayen aur koi doosra uska fal khaaye.”—yashayah 65:21, 22.
“dharti par bahotayat mein anaj hoga, pahadon ki chotiyon par anaj ki bharmar hogi.”—bhajan 72:16.
“yahova kehta hai, ‘peediton ko sataya jaa raha hai, gareeb aahein bhar rahe hain, isliye ab main kadam uthaunga.’”—bhajan 12:5. *
bahot jald parmeshvar aisi sabhi aarthik samasyaon ko mita dega jinse logon ko takaleefein uthani pad rahi hain. woh sirf ek desh mein nahin balki poori duniya mein aisa karega. lekin woh yah kaise karega? jaanne ke liye ye lekh padhein, “kya kabhi aisi arthavyavastha hogi jismein sabki zaroortein poori hongi?” (angrezi) aur “kya gareebi ko hamesha ke liye mitaya jaa sakta hai?”
par bible ki madad se hum aaj bhi badhti mehangai ka saamna kar sakte hain. woh kaise? ismein kuch sujhav diye gaye hain ki hum kaise soch-samajhkar paise kharch kar sakte hain. (neetivachan 23:4, 5; sabhopdeshak 7:12) ye sujhav aapke bhi bahot kaam aa sakte hain! is baare mein aur jaanne ke liye ye lekh padhein, “paison ke baare mein soch-samajhkar faisle lein” aur “kam paison mein kaise karein guzara?”
^ yahova, parmeshvar ka naam hai.—bhajan 83:18.