is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

ukraine par roos ka hamla

ukraine par roos ka hamla

 24 farvari, 2022 ki subah roos ki sena ne ukraine par hamla kar diya, iske baavjood ki kai deshon ke netaon ne yah yuddh rokne ki koshish ki. is ladai ka duniya par kya asar hoga? aaj se kuch din pehle sanyukt raashtra ke mahasachiv, antonio guterres ne kaha, “hum kalpana bhi nahin kar sakte ki is ladai ki vajah se na sirf europe ke deshon par balki poori duniya ke deshon par kitna bada keher tootnevala hai, kitni tabahi machnevali hai. poori duniya ki suraksha khatre mein pad jaayegi.”

bible ke mutabik in ghatnaon ke kya maayne hain?

  •   yeeshu maseeh ne bahot pehle bhavishyavani ki thi ki ek vakt aayega jab “ek raashtra doosre raashtra par aur ek raajya doosre raajya par hamla karega.” (matti 24:7) aaj duniya mein jitne bhi yuddh ho rahe hain, unse yeeshu ki yah bhavishyavani poori ho rahi hai. hum aisa kyon keh sakte hain, yah jaanne ke liye “‘aakhiri dinon’ ya ‘ant ke samay’ ki nishani kya hai?” lekh padhein.

  •   bible ki ek kitab prakashitvakya mein yuddh ko ek aise ghudsavaar se darshaya gaya hai, jo ‘laal rang ke ghode’ par savaar hai aur jo “prithvi par se shaanti utha le” jaata hai. (prakashitvakya 6:4) yah bhavishyavani aaj kaise poori ho rahi hai, yah jaanne ke liye “chaar ghudsavaar​—ye kaun hain?” lekh padhein.

  •   bible ki ek aur kitab daaniyel mein pehle se bataya gaya hai ki ‘uttar ke raja’ aur ‘dakshin ke raja’ mein takrar hogi. (daaniyel 11:25-45) “uttar ka raja” roos aur uske mitra raashtra hai. aisa kyon kaha jaa sakta hai, yah jaanne ke liye poori ho chuki bhavishyvaniyaan​—daaniyel adhyay 11 naam ka video dekhein. *

  •   prakashitvakya mein “sarvashaktiman parmeshvar ke mahan din ke yuddh” ke baare mein bhi bataya gaya hai. (prakashitvakya 16:14, 16) lekin yah yuddh deshon ke beech honevale yuddh nahin hai, jaise ki aaj ho raha hai. iske bajay yah yuddh bhavishya mein hoga. is baare mein aur jaanne ke liye “har-magidon ka yuddh kya hai?” lekh padhein.

aap ek achhe bhavishya ki ummeed rakh sakte hain​—kyon?

  •   bible mein likha hai ki parmeshvar ‘dharti ke kone-kone se yuddhon ko mita’ dega. (bhajan 46:9) bhavishya ke baare mein parmeshvar ne jo vaade kiye hain, unke baare mein aur jaanne ke liye “aanevala kal sunahra hoga!” lekh padhein.

  •   yeeshu ne apne chelon ko yah prarthna karna sikhaya ki parmeshvar ka raaj aaye. (matti 6:9, 10) yah raaj ek aisi sarkar hai jo swarg mein hai aur jo dharti par parmeshvar ki marzee poori karegi. aur parmeshvar ki marzee hai ki poori duniya mein shaanti ho. parmeshvar ke raaj se aapko kya faayda ho sakta hai, is baare mein jaanne ke liye parmeshvar ka raaj kya hai? naam ka video dekhein.

 ukraine mein 1,29,000 se bhi zyada yahova ke sakshi hain. doosre deshon ke sakshiyon ki tarah woh bhi yeeshu ki misal par chalte hain. woh raajnaitik maamlon mein kisi ka paksh nahin lete hain aur naa hi yuddh mein hissa lete hain. (yuhanna 18:36) poori duniya mein yahova ke sakshi ‘raaj ki khushkhabri’ ka ailan karte hain. (matti 24:14) woh logon ko batate hain ki sirf yahi raaj insan ki saari samasyaon ko, yahaan tak ki yuddhon ko door kar sakta hai. hum aapko badhava dete hain ki aap hamse sampark karein aur jaanein ki bible mein ek achhe bhavishya ke baare mein kya bataya gaya hai.

^ is baare mein aur jaanne ke liye ye donon lekh padhein: “‘ant ke samay mein’ uttar ka raja” aur “aaj ‘uttar ka raja’ kaun hai?