kaun hamein aasha de sakta hai?
kaun hamein aasha de sakta hai?
aapki ghadi kharab ho gayi hai. aap baazar jaate hain, to dekhte hain ki bahot-si dukanein hain jahaan ghadi theek ki jaati hai. har dukandar kehta hai ki woh aapki ghadi theek kar sakta hai. koi kehta hai ki yah kharabi hai, to koi kehta hai ki woh kharabi hai. aapko samajh mein nahin aata hai ki aap kisse ghadi theek karvayen. lekin fir aapko pata chalta hai ki jis aadmi ne saalon pehle woh ghadi banayi thi, woh aapka padosi hi hai. aap usse baat karte hain aur woh ghadi theek karne ke liye taiyar ho jaata hai, woh bhi bina paise liye. beshak, aap usi se ghadi theek karvaenge, hai ki nahin?
ghadi kharab ho jaaye, to aap use theek karva sakte hain. lekin maan leejiye aap kisi vajah se ummeed kho baithte hain, tab aap kisse madad maang sakte hain? har koi aapko salah dene lagta hai. koi aapse kehta hai ki aisa karo, to aapki samasyayen theek ho jaayengi, to koi kehta hai ki aisa bilkul bhi mat karna. aapko samajh mein nahin aata ki aap kya karein, kiski sunein. kya aapko nahin lagta ki aise mein hamara bananevala hi hamein sabse badhiya salah de sakta hai aur hamein ummeed de sakta hai? pavitra shastra bible mein likha hai ki “woh hammein se kisi se bhi door nahin” aur woh hamari madad karna chahta hai.—preshiton 17:27; 1 patras 5:7.
aasha karne ka kya matlab hai?
aajkal ke doctor aur vaigyanik aasha ke baare mein jo batate hain aur bible aasha ke baare mein jo batati hai, usmein bahot fark hai. aasha karne mein do baatein shaamil hain. pehli, kuch achha hone ki ichha karna aur doosri, us par yakeen karne ki thos vajah hona. bible mein jis aasha ke baare mein bataya gaya hai, woh sirf kori kalpana nahin hai. aasha karne ki koi thos vajah hoti hai.
dekha jaaye to aasha karna vishvas rakhne jaisa hi hai, kyonki jis tarah kisi baat par vishvas karne ke liye thos vajah hona chaahiye, usi tarah aasha karne ke liye bhi thos vajah hona chaahiye.—1 kurinthiyon 13:13; ibraniyon 11:1.
ise samajhne ke liye zara sochiye, aap apne ek jigri dost se madad maangte hain. aapko us par poora bharosa hai, isliye aap usse ummeed lagaye huye hain. aap use achhi tarah jaante hain. woh bahot udar hai aur usne pehle bhi aapki madad ki hai. isse pata chalta hai ki jis par bharosa ya vishvas hota hai, usi se ummeed ki jaati hai. saath hi, agar hamare paas koi thos vajah ho, tabhi hum kisi se ummeed lagate hain ya kisi par bharosa karte hain. par ab saval uthta hai, kya aap parmeshvar par is tarah ki aasha laga sakte hain? agar haan, to kyon?
aasha karne ki vajah
hum parmeshvar par aasha laga sakte hain, kyonki woh apne sabhi vaade poore karta hai. beete zamane mein bhi parmeshvar yahova ke log yaani israeli, usi par aasha lagate the. shastra mein use “israel ki aasha” bhi kaha gaya hai. (yirmayah 14:8) israeli yahova par isliye aasha lagaye huye the kyonki unhein us par poora bharosa tha. woh isliye ki yahova ne unse jitne bhi vaade kiye the, woh sab poore kiye. yahi vajah thi ki israeliyon ke neta yahoshoo ne unse kaha, “tum achhi tarah jaante ho ki tumhare parmeshvar yahova ne tumse jitne bhi behtareen vaade kiye the woh sab-ke-sab poore huye.”—yahoshoo 23:14.
bible mein likha hai ki parmeshvar ne apne logon se kaun-se vaade kiye the aur woh sab-ke-sab kis tarah poore huye. darasal uske kai vaade is tarah likhe gaye the maano woh poore ho chuke hon. isi vajah se aaj hum bhi parmeshvar ke vaadon par bharosa rakh sakte hain.
bible mein likhe sabhi vaade zaroor poore honge, isliye bible padhne se hamein aasha milti hai. jab aap bible mein padheinge ki kis tarah yahova ne apne logon se vyavahar kiya, to aapka us par bharosa badhega aur aapko pakka yakeen ho jaayega ki uske vaade zaroor poore honge. bible mein likha hai, “jo baatein pehle se likhi gayi thi, woh isliye likhi gayin ki hum unse seekhein aur shastra se hamein dheeraj dharne mein madad mile aur hum dilasa paayen taaki hamare paas aasha ho.”—romiyon 15:4.
parmeshvar se mili ek badhiya aasha
jab hamara koi azeez guzar jaata hai, tab hamein aasha ki sabse zyada zaroorat hoti hai. lekin us vakt bahot-se logon ko lagta hai ki sabkuch khatm ho gaya, koi ummeed hi nahin bachi. woh isliye ki hum chaahe laakh koshish kyon na kar lein, hum unhein vaapas nahin laa sakte aur ek-na-ek din hum sabki maut ho jaati hai. yahi vajah hai ki bible maut ko “aakhiri dushman” kehti hai.—1 kurinthiyon 15:26.
kya iska matlab hai ki hamare paas koi aasha nahin? nahin, aisa nahin hai. bible mein likha hai ki aakhiri dushman yaani maut ko “mita diya” jaayega. parmeshvar yahova aisa karne ki taakat rakhta hai. usne kai baar maut ki nind so rahe logon ko zinda kiya hai. bible mein aisi nau ghatnaon ka zikra kiya gaya hai, jab yahova ne logon ko zinda kiya.
ek baar yahova ne apne bete yeeshu ko ek vyakti ko dobara zinda karne ki taakat di. woh yeeshu ka dost laazar tha, jise mare huye chaar din ho chuke the. yeeshu ne akele mein nahin, balki ek badi bheed ke saamne use zinda kiya.—yuhanna 11:38-48, 53; 12:9, 10.
shaayad aap sochein, ‘jin logon ko dobara zinda kiya gaya, woh boodhe hokar fir se mar gaye. to fir unhein zinda karne ka kya faayda hua?’ haan, yah baat sahi hai ki woh dobara mar gaye. lekin is kisse se hamein is baat ka pakka saboot milta hai ki hamare apne jo mar gaye hain, unhein dobara zinda kiya jaayega. is vajah se hamein pakki aasha hai ki hum unse mileinge.
yeeshu ne kaha, “mare huon ko zinda karnevala aur unhein jeevan denevala main hi hoon.” (yuhanna 11:25) parmeshvar yahova yeeshu ko poori duniya mein logon ko zinda karne ki taakat dega. bible mein likha hai, “woh vakt aa raha hai jab woh sabhi, jo smarak kabron mein hain [yeeshu maseeh] ki aavaz suneinge aur baahar nikal aayenge.” (yuhanna 5:28, 29) hum yah ummeed kar sakte hain ki jo log maut ki nind so rahe hain, unhein is khoobsoorat dharti par zinda kiya jaayega.
beete zamane mein parmeshvar ke ek bhavishyavakta yashayah ne bahot hi sundar shabdon mein kaha, “parmeshvar kehta hai, ‘tere jo log mar gaye hain, woh uth khade honge, mere logon ki laashon mein jaan aa jaayegi. tum jo mitti mein jaa base ho, jaago! khushi se jayajyakar karo! teri os subah ki os jaisi hai! kabra mein pade bejan logon ko dharti lauta degi ki woh zinda kiye jaayen.’”—yashayah 26:19.
yah baat padhkar hamein sach mein bahot tasalli milti hai. jis tarah ek ajanma bachcha maa ki kokh mein mahfooz rehta hai, usi tarah mare huye log yahova ki yaad mein mahfooz hain. (luka 20:37, 38) bahot jald yahova unhein is khoobsoorat dharti par fir se zinda karega, jahaan unka parivar khushi-khushi unka swagat karega. kitni badhiya aasha hai!
aasha hone se hum dheeraj dhar paate hain
parmeshvar ke ek sevak paulus ne bataya ki aasha hona kitna zaroori hai. usne kaha ki aasha ek top ya helmet jaisi hai. (1 thisslunikiyon 5:8) purane zamane mein jab ek sainik yuddh ke liye jaata tha, to woh apne sir par dhaatu se bana ek top pehanta tha. woh ise kapde ya chamde ki topi ke oopar pehanta tha. top ki vajah se sainik sir par huye vaar jhel paata tha aur use zyada chot nahin pahunchti thi. paulus ke kehne ka matlab tha ki jis tarah top pehanne se sainik ke sir ki raksha hoti hai, usi tarah aasha rakhne se hamare man ki raksha hoti hai. hamein aasha hai ki yahova ke vaade zaroor poore honge. is vajah se hum mushkilein aane par bhi nirash nahin hote. sach mein, hum sabko is aasha ke top ki bahot zaroorat hai.
paulus ne ek udahran dekar samjhaya ki aasha karna kitna zaroori hai. usne likha, “yah aasha hamari zindagi ke liye ek langar hai jo pakki aur mazboot hai.” (ibraniyon 6:19) paulus kai baar jahaz par safar kar chuka tha. woh jaanta tha ki jahaz ke liye langar kitna zaroori hota hai. jab toofan aata hai, to naavik paani mein langar gira dete hain. is vajah se jahaz chattan se takrakar tahas-nahas nahin hota, balki apni jagah tika rehta hai.
parmeshvar ne hamein bhavishya ki jo pakki aasha di hai, woh ek langar ki tarah hai. yah hamein museebaton ke toofan ka saamna karne ke liye mazboot kar sakti hai. yahova ne vaada kiya hai ki woh bahot jald is duniya se yuddh, dukh-takleefein, anyay aur maut ko mita dega. (page 10 par diya baks dekhein.) agar hum apni aasha ko mazbooti se thaame rahein, to hum mushkilon ka saamna kar paayenge aur is dusht duniya mein bhi parmeshvar ki aagyaa maan paayenge.
yahova chahta hai ki aapke paas bhi yah aasha ho aur aap khushi se zindagi jeeyen. uski to ichha hai ki “sab kism ke logon ka uddhar ho.” lekin hamara uddhar tabhi hoga jab hum “sachchai ka sahi gyaan” leinge. (1 timuthiyus 2:4) hum chahte hain ki aap bible se parmeshvar ke baare mein sachchai jaanein aur hamesha ki zindagi paayen. yah aasha jo parmeshvar ne hamein di hai bahot laajvab hai. aisi aasha hamein duniya mein aur kahin nahin mil sakti!
is aasha ki vajah se hum fir kabhi nirash nahin honge. parmeshvar ki madad se hum un sabhi lakshyon ko haasil kar paayenge jo uski marzee ke mutabik hain. (2 kurinthiyon 4:7; filippiyon 4:13) yah aasha sach mein laajvab hai. yakeen maaniye, yah aasha aapko bhi mil sakti hai!
[page par baks. tasveer]
hum kyon aasha kar sakte hain?
shastra mein likhi in baaton se aapki aasha aur pakki ho jaayegi:
◼ ishvar ne ek achhe bhavishya ka vaada kiya hai.
pavitra shastra mein likha hai ki yah dharti ek khoobsoorat baag jaisi ban jaayegi aur sabhi insan ek saath khushi se jeeyenge.—bhajan 37:11, 29; yashayah 25:8; prakashitvakya 21:3, 4.
◼ ishvar jhooth nahin bol sakta.
use har tarah ke jhooth se nafrat hai. parmeshvar yahova pavitra hai isliye uska jhooth bolna naamumkin hai.—neetivachan 6:16-19; yashayah 6:2, 3; titus 1:2; ibraniyon 6:18.
◼ ishvar mein gazab ki taakat hai.
parmeshvar yahova sarvashaktiman hai, koi bhi uski barabri nahin kar sakta. use apne vaade poore karne se koi nahin rok sakta.—nirgaman 15:11; yashayah 40:25, 26.
◼ ishvar chaahta hai ki aap hamesha jeeyen.
—yuhanna 3:16; 1 timuthiyus 2:3, 4.
◼ ishvar ko ummeed hai ki hum uski baat maaneinge.
ishvar hamari kamiyon aur kamzoriyon par dhyan nahin deta, balki hamari achhaiyon par dhyan deta hai. woh is baat par dhyan deta hai ki hum achhe kaam karne ke liye kitni mehnat karte hain. (bhajan 103:12-14; 130:3; ibraniyon 6:10) woh ummeed karta hai ki hum sahi kaam kareinge aur jab hum aisa karte hain, to use khushi hoti hai.—neetivachan 27:11.
◼ ishvar achhe lakshya haasil karne mein aapki madad karega.
jo ishvar se pyar karte hain, unhein woh kabhi akela nahin chhodta. woh unhein shakti deta hai aur unki madad karta hai.—filippiyon 4:13.
◼ ishvar aapka bharosa kabhi nahin todega.
aap ishvar par poora bharosa kar sakte hain, woh hamesha aapka saath dega.—bhajan 25:3.
[page par tasveer]
jaise top se sir ki raksha hoti hai, vaise hi aasha se man ki raksha hoti hai
[page par tasveer]
aasha ek langar ki tarah hai, jisse hum mushkilon mein bhi date reh paate hai
[chitra ka shrey]
Courtesy René Seindal/Su concessione del Museo Archeologico Regionale A. Salinas di Palermo