pati-patniyon ke liye
4: maafi
iska kya matlab hai?
kisi ko maaf karne ka matlab hai, uski galti bhula dena aur usse naaraz nahin rehna. lekin iska yah matlab nahin ki aap uski galti ko kam aankein ya aisa sochein ki usne kuch galat kiya hi nahin.
pavitra shastra ki salah: “agar kisi ke paas doosre ke khilaf shikayat ki koi vajah hai, to bhi ek-doosre ki sehte raho aur ek-doosre ko dil kholkar maaf karte raho.”—kulussiyon 3:13.
“agar aap kisi se pyar karte hain, to aap uski khaamiyon par dhyan nahin dete, balki yah dekhte hain ki woh khud mein sudhaar laane ke liye kitni mehnat kar raha hai.”—aaron.
yah kyon maayne rakhta hai?
naaraz rehne se aapke tan aur man ko nuksan pahunchega aur aap donon ke rishte mein darar aa jaayegi.
“ek baar mere pati ne mujhe bahot thes pahunchayi, lekin fir mujhse maafi maangi. unhein maaf karna mujhe bahot mushkil laga, par baad mein mainne unhein maaf kar diya. aaj jab main un palon ko yaad karti hoon, to mujhe bahot afsos hota hai ki mainne maaf karne mein itni der kyon lagayi. agar main unhein pehle maaf kar deti, to hamare beech bevajah darar nahin aati.”—julia.
aap kya kar sakte hain?
khud se poochhiye
agli baar agar aapko apne saathi ki kisi baat ya vyavhar ki vajah se bura lagta hai, to khud se poochhiye:
‘kya main chhoti-chhoti baaton ka bhi bura maan jaata hoon?’
‘kya uski galti itni badi hai ki use maafi maangni chahiye? kya main use yoon hi nazarandaz nahin kar sakta?’
apne saathi se is baare mein baat keejiye
hum ek-doosre ko maaf karne mein kitni der lagate hain?
ek-doosre ko jald-se-jald maaf karne ke liye hum kya kar sakte hain?
ise aazmaiye
jab aap apne saathi se naaraz hon, to uske iradon par shak mat keejiye.
apne saathi ko maaf kar deejiye. yaad rakhiye ki “hum sab kai baar galti karte hain.”—yakub 3:2.
“jab donon ki galti ho, to maaf karna aasan hota hai. lekin jab ek ki galti ho, to maaf karna bahot mushkil hota hai. maaf karne aur maafi maangne ke liye ek vyakti mein sachchi namrata honi chahiye.”—kimberly.
pavitra shastra ki salah: “jald-se-jald uske saath sulah kar le”—matti 5:25.
naaraz rehne se aapke tan aur man ko nuksan pahunchega aur aap donon ke rishte mein darar aa jaayegi