bhavishyavani 2. akaal
bhavishyavani 2. akaal
“akaal bhi padeinge.”—markus 13:8.
● ek aadmi khaane ki talash mein apna gaanv chhodkar doosre gaanv chala jaata hai. uske bhaai-behen bhi uske saath jaate hain. woh vahaan khaane ki bahot talash karte hain, lekin unhein kuch nahin milta. nirash hokar woh aadmi sadak ke kisi kone mein jaakar akele baith jaata hai. akele kyon? gaanv ka mukhiya batata hai, “woh apne parivar ka pet nahin paal paaya, isliye uski himmat nahin ho rahi ki woh jaakar apne parivar ko munh dikhaye.”
aankde kya dikhate hain? poori duniya ke aankde dekhein, to har din 7 mein se 1 jan ko bharpet khaana nahin milta. lekin afreeka ke kuch ilakon mein to haalaat isse bhi badtar hain. vahaan 3 mein se 1 jan ko kabhi bharpet khaana nahin milta. ise samajhne ke liye sochiye agar ek parivar mein teen jan hain, mammi, paapa aur unka bachcha, to in teenon mein se kisi-na-kisi ko to bhookhe pet sona padega. aise parivaron ko har din faisla karna padta hai ki aaj kaun bhookha soyega.
log kya kehte hain? ‘duniya mein khaane ki koi kami nahin hai. bas kuch logon ko zyada mil jaata hai, to kuch ko kam.’
kya yah baat sach hai? aaj pehle se kahin zyada anaj ugaya jaa raha hai aur use aasani se ek jagah se doosri jagah pahunchaya jaa sakta hai. dekha jaaye to duniya mein khaane ki kami nahin honi chaahiye. lekin dukh ki baat hai ki sarkarein ise zarooratmand logon tak pahunchane mein naakam rahi hain. sarkarein saalon se koshish karti aayi hain, lekin yah samasya abhi tak khatm nahin hui hai.
aapko kya lagta hai? bible mein jo bhavishyavani ki gayi thi ki akaal padeinge, kya woh aaj poori ho rahi hai? technology mein sudhaar to hua hai, lekin kya aaj bhi duniya mein khaane ki kami hai?
bhookamp aur akaal ke baad aksar ek aur samasya khadi ho jaati hai. is baare mein bhi bible mein pehle se bataya gaya tha.
[page par bade aksharon mein lekh ki khaas baat]
ann m. veneman ne, jo ek samay par sanyukt raashtra baal kosh ki executive director thi, kaha, “jin bachchon ki pneumonia, dast aur doosri beemariyon se maut ho jaati hai, agar unhein kuposhan na hota, to shaayad unmein se kuch bach jaate.”
[chitra ka shrey]
© Paul Lowe/Panos Pictures