is jaankari ko chhod dein

vishay-soochi ko chhod dein

bhavishyavani 6. poori duniya mein prachar kaam

bhavishyavani 6. poori duniya mein prachar kaam

bhavishyavani 6. poori duniya mein prachar kaam

“raaj ki is khushkhabri ka saare jagat mein prachar kiya jaayega.”​—matti 24:14.

● vaiatea prashaant mahasagar ke ek chhote-se dveep mein rehti hai. us dveep mein bahot hi kam log base hain. lekin fir bhi yahova ke sakshi vaiatea aur uske padosiyon se milne gaye. woh kyon? kyonki yahova ke sakshi sabko prachar karte hain, fir chaahe woh kahin bhi rehte hon.

aankde kya dikhate hain? yahova ke sakshi duniya-bhar mein prachar kar rahe hain. san 2010 mein yahova ke sakshiyon ne 236 deshon mein kareeb 160 karod ghante prachar kiya. iska matlab, 2010 mein har sakshi ne har din 30 minat logon ko parmeshvar ke raaj ke baare mein bataya. unhonne das saalon mein bible par aadharit kareeb 20 arab kitabein-patrikayen prakashit kin aur logon ko di.

log kya kehte hain? ‘ismein kaun-si nayi baat hai, log to hazaron saalon se bible ke sandesh ka prachar kar rahe hain.’

kya yah baat sach hai? haalaanki kai logon ne bible ke sandesh ka prachar kiya hai, lekin unhonne aisa sirf kuch hi vakt ke liye kiya aur woh bhi sirf gine-chune ilakon mein. lekin jahaan tak yahova ke sakshiyon ki baat hai, woh poori duniya mein vyavasthit tareeke se karodon logon ko prachar kar rahe hain. kai sarkaron aur bade-bade logon ne unke prachar kaam ko rokne ki bahot koshish ki, lekin woh naakam rahe. (markus 13:13) prachar karne ke liye yahova ke sakshiyon ko paise nahin milte. woh khushi-khushi prachar karne mein apna vakt bitate hain. woh doosron ko jo kitabein aur patrikayen dete hain, unke liye bhi paise nahin lete. log apni marzee se jo daan karte hain, usi se is kaam ka kharch chalaya jaata hai.

aapko kya lagta hai? kya ‘parmeshvar ke raaj ki khushkhabri’ ka poori duniya mein prachar kiya jaa raha hai? kya iska matlab hai ki aage achha samay aanevala hai?

[page par bade aksharon mein lekh ki khaas baat]

2010 yahova ke sakshiyon ki saalana kitab  (angrezee) mein likha hai, “jab tak yahova ki marzee ho, hum poore josh se parmeshvar ke raaj ki khushkhabri ka prachar kareinge aur logon tak pahunchne ki har mumkin koshish kareinge.”