ek sunhara bhavishya
ek sunhara bhavishya
“bas thode hi samay baad dushton ka naamo-nishan mit jaayega . . . magar deen log dharti ke vaaris honge aur badi shaanti ke kaaran apar khushi paayenge.”—bhajan 37:10, 11.
kya aap chahte hain ki yah bhavishyavani poori ho? aap zaroor chahte honge! hum poora yakeen rakh sakte hain ki bible mein likhi yah baat bahot jald poori hogi.
ab tak hamne jin bhavishyavaniyon par dhyan diya, unse saaf pata chalta hai ki hum is dusht duniya ke “aakhiri dinon” mein ji rahe hain. (2 timuthiyus 3:1-5) parmeshvar ne hi in bhavishyavaniyon ko bible mein likhvaya taaki hamein ek ummeed mil sake. (romiyon 15:4) ye bhavishyavaniyaan aaj poori ho rahi hain, iska matlab hai ki bahot jald ek achha samay aanevala hai.
aakhiri dinon ke baad kya hoga? parmeshvar ka raaj poori dharti par hukoomat karega. (matti 6:9) aaiye dekhein ki tab haalaat kaise honge.
● koi bhookha nahin rahega. “dharti par bahotayat mein anaj hoga, pahadon ki chotiyon par anaj ki bharmar hogi.”—bhajan 72:16.
● koi beemar nahin hoga. “desh ka koi nivasi na kahega, ‘main beemar hoon.’”—yashayah 33:24.
● dharti fir se sundar ho jaayegi. “veerana aur sookha maidan khushi se jhoom uthega, banjar zameen khushiyaan manayegi, kesar ke baag ki tarah khil uthegi.”—yashayah 35:1.
iske alava bible mein aur kai bhavishyavaniyaan likhi hain, jo bahot jald poori hongi. lekin hum kaise yakeen rakh sakte hain ki ye bhavishyavaniyaan zaroor poori hongi? yahova ke sakshiyon ko aapse is baare mein baat karne mein bahot khushi hogi.