naujavanon ke saval
agar mere paapa ya mammi beemar hon?
zyadatar naujavan doosron ki dekhbhal karne ke baare mein zyada nahin sochte. unhein lagta hai ki unke paapa ya mammi ko abhi to koi beemari hai nahin aur shaayad saalon tak na ho.
lekin agar aapke paapa ya mammi ko achanak koi beemari ho jaaye to aap kya kareinge? aise do naujavanon ki misal par gaur keejiye jinhonne is mushkil ka saamna kiya.
emmaline ki kahani
meri mammi lambe samay se beemar hain. unhein ehlers danlos syndrome (EDS) hai. yah badi hi dardnak beemari hai jiska asar shareer ke jodon, chamdi aur khoon ki naliyon par hota hai.
is beemari ka koi ilaj nahin. pichhle das saalon se meri mammi ki tabiyat bigadti jaa rahi hai. kabhi-kabhi aisa vakt bhi aaya jab unke shareer mein itna kam khoon reh gaya ki unki jaan par ban aayi ya unka dard itna badh gaya ki woh mar jaana chahti thi.
mera poora parivar yahova ka sakshi hai. is mushkil ghadi mein hamari mandli ke bhaai-behenon ne hamein bahot dilasa diya! misal ke liye, ek ladki ne jo meri umra ki hai, hamein ek card bheja aur usmein likha ki woh hamse bahot pyar karti hai aur hamein jo bhi madad chahiye hum usse bejhijhak maang sakte hain. aise doston ka hona vaakai ek aasheesh hai!
mujhe bible padhne se bahot madad mili hai. jaise, bhajan 34:18 meri manpasand aayton mein se ek hai. vahaan likha hai, “yahova toote manvalon ke sameep rehta hai.” mujhe ibraniyon 13:6 bhi bahot pasand hai. woh aayat kehti hai, “yahova mera madadgar hai, main na daroonga.”
ibraniyon ki is aayat se mera bahot hausla badha hai. mujhe sabse zyada dar is baat ka hai ki kahin main apni mammi ko kho na doon. main unse bahot pyar karti hoon aur unke saath bitaya ek-ek pal mere liye keemti hai. is aayat se mujhe aanevale kal ka saamna karne ki himmat milti hai, fir chahe woh kaisa bhi ho.
lekin mujhe ek aur baat ka dar hai. yah aisi beemari hai jo bachchon ko maa-baap se milti hai. meri mammi ko naani se mili aur mujhe apni mammi se. ji haan, mujhe bhi yah beemari hai. magar ibraniyon 13:6 ke shabd mujhe yakeen dilate hain ki yahova is haalaat mein bhi “mera madadgar” hoga.
is dauran main un baaton ke baare mein sochkar khush rehne ki koshish karti hoon jo aaj mere paas hain. main beete samay ya aanevale kal ke baare mein soch-sochkar dukhi nahin rehti. agar main sirf yahi sochti rahoon ki mammi pehle ke mukable ab zyada nahin kar paatin, to main bahot aasani se nirash ho sakti hoon. bible kehti hai ki aaj hum jin pareshaniyon se guzar rahe hain woh bas “pal-bhar” ki hain. magar hamara aanevala kal bahot sunhara hoga, jab beemariyaan nahin raheingi aur hum sab hamesha ki zindagi ka aanand uthayenge!—2 kurinthiyon 4:17; prakashitvakya 21:1-4.
zara sochiye: kis vajah se emmaline sahi nazriya rakh paati hai? mushkilon ka saamna karte vakt aap kaise sahi nazriya rakh sakte hain?
emmily ki kahani
main high school mein padhti thi. us vakt paapa ke liye nirasha ka daur shuroo hone laga. aisa laga jaise mere purane paapa kahin kho gaye hain aur unki jagah ek naye aadmi ne le li hai. us samay ke baad se paapa ko reh-rehkar dukh ki bhaavna aa gherti hai, woh bevajah darne lagte hain aur chinta mein doob jaate hain. aisa pichhle 15 saalon se ho raha hai. woh jaante hain ki dukhi hone ki koi vajah nahin, fir bhi khud ko dukh ke saagar mein dooba dekhkar unhein kitna bura lagta hoga!
hum yahova ke sakshi hain. jis mandli mein hum jaate hain vahaan ke bhaai-behenon ne hamara bahot saath diya hai. woh hamare saath bade pyar se pesh aate hain aur jaante hain ki hum mushkil ghadi se guzar rahe hain. unhonne kabhi paapa ko yah mehsoos nahin karvaya ki woh mandli mein kisi kaam ke nahin. jab main dekhti hoon ki mere paapa kitni himmat ke saath nirasha se lad rahe hain, to unke liye mera pyar aur badh jaata hai.
mere paapa pehle aise kabhi nahin the! woh kabhi is had tak nirash nahin hote the, haalaat chahe jaise bhi hon woh kabhi dukhi nahin hote the, hamesha khush rehte the. magar ab har din unhein ek aise dushman se ladna padta hai jo dikhayi nahin deta, balki andar-hi-andar unhein khaaye jaa raha hai. unka yah haal mujhse dekha nahin jaata.
fir bhi paapa ek sahi nazriya banaye rakhne ki bahot koshish karte hain. haal hi mein jab woh gehri nirasha mein doob gaye the, to unhonne jaise-taise karke himmat jutayi ki woh har din bible padheinge, fir chahe woh kuch hi aaytein kyon na padhein. bhale hi yah bahot chhoti-si baat lage, magar nirasha se ubarne ke liye yah bahot badhiya dava saabit hui. mujhe paapa par bada naaz hai ki unhonne nirasha ke is daur mein khud ko itni achhi tarah sambhala!
mujhe nahemayah 8:10 bahot pasand hai jo kehta hai, “yahova ka aanand tumhara dridh gadh hai.” yah baat kitni sach hai! jab main mandli mein hoti hoon aur vahaan ke kaamon mein khud ko vyast rakhti hoon to meri udasi khushi mein badal jaati hai. aur yah khushi mujhe poore din sambhale rakhti hai. mere paapa is baat ke jeete-jaagte saboot hain ki zindagi mein chahe jo bhi mushkil aaye, yahova hamara saath kabhi nahin chhodega.
zara sochiye: emmily ne is beemari se ladne mein apne paapa ki madad kaise ki? agar koi gehri nirasha se joojh raha hai, to aap kaise uski madad kar sakte hain?