naujavanon ke saval
apne bhaai ya behen ke saath shaanti kyon banaye rakhoon?
“jaani dushman magar jigri dost”
“jaani dushman magar jigri dost!” bhaai-behen ke rishte ko aksar yahi naam diya jaata hai. aap apne bhaai ya behen se pyar karte hain aur use bhi aapse pyar hai. lekin kabhi-kabhi aapki usse bilkul nahin banti. atharah saal ki helena kehti hai, “mera chhota bhaai dimag khaa jaata hai. woh jaanta hai ki mujhe kab kis baat se chidh machegi aur fir vahi kaam karta hai.”
bhaai-behenon ke kuch jhagde sirf baat karke bhi suljhaye jaa sakte hain. unhein ek-doosre ki sunne ke liye aur jhukne ke liye taiyar rehna chahiye. udahran ke liye:
agar do bhaai ek hi kamre mein rehte hain, to shaayad woh is baat par bahas karein ki unhein apni zindagi mein dakhalandazee nahin chahiye. shaanti kaise banayen? ek-doosre ka lihaz karein aur is baat ko samjhein ki donon ke liye kuch vakt akele mein bitana zaroori hai. luka 6:31 mein diya siddhaant laagoo karein.
do behenein shaayad bina poochhe ek-doosre ke kapde “pehan lein.” shaanti kaise banayen? aapas mein baat keejiye aur had thehraiye ki aap ek-doosre ki kaun-si cheez le sakte hain aur kaun-si nahin. doosra timuthiyus 2:24 mein diya siddhaant laagoo karein.
kai baar bhaai-behenon ke beech ke jhagde chhote-mote nahin hote aur inke anjam khatarnak bhi ho sakte hain. bible se do udahranon par gaur keejiye:
mariyam aur haaroon apne bhaai moosa se jalne lage the. iska bahot bura anjam hua. ginti 12:1-15 mein the ghatna padhiye. fir khud se poochhiye, “mujhe apne bhaai ya behen se kyon nahin jalna chahiye?”
kain ka gussa apne bhaai haabil par is had tak bhadak utha ki usne haabil ka khoon kar diya. utpatti 4:1-12 mein the ghatna padhiye. fir khud se poochhiye, “apne bhaai ya behen se baat karte vakt main apne gusse par kaise kaaboo rakh sakta hoon?”
shaanti banaye rakhne ki do vajah
chahe aapko apne bhaai ya behen ke saath patri bithana kitna hi mushkil lage, magar unke saath shaanti banaye rakhne ki kam-se-kam do vajah to zaroor hain.
yah samajhdari ki nishani hai. alex naam ka ek naujavan kehta hai, “apni do chhoti behenon par main bahot jaldi gussa ho jaata tha. lekin ab main kaafi shaant rehta hoon aur unke saath sabra se pesh aata hoon. aap keh sakte hain ki main thoda samajhdar ho gaya hoon.”
bible batati hai: jo krodh karne mein dheema hai woh bada samajhvala hai, lekin jo utavli karta hai, woh apni moorkhta dikhata hai.—neetivachan 14:29.
yah aapko aage ke liye taiyar karega. agar aap apne bhaai-behenon ki galtiyon ko bardasht nahin kar paate to apne jeevan-saathi, saath kaam karnevale, apne maalik, ya kisi aur ki baat kaise bardasht kareinge?
zindagi ka sach: aage aap jin rishton ko nibhayenge unmein aap kitne kaamyab honge yah is baat par nirbhar karta hai ki aap kitni achhi tarah baatcheet karte hain aur kis had tak doosron ki maante hain. in kaabileeyaton ko badhane ke sabse badhiya mauke parivar mein milte hain.
bible batati hai: “jahaan tak tumse ho sake, . . . shaanti banaye rakhne ki poori koshish karo.”—romiyon 12:18.
kya aap apne bhaai ya behen ke saath huye jhagde ko khatm karna chahte hain? “naujavan kya kehte hain” lekh padhiye aur fir uske saath diya yah abhyas dekhiye, “apne bhaai ya behen ke saath patri kaise bithaun?”