naujavanon ke saval
kya ishkbazee bas mazak hai?
ishkbazee ka kya matlab hai?
kuch log kehte hain ki ishkbazee ka matlab hai, apni baaton ya apne vyavahar se vipreet ling ke vyakti ko jatana ki aapko usmein dilchaspi hai. kya ismein koi burai hai? har vakt nahin. ann ka kehna hai, “agar aap jeevan-saathi ki talash kar rahe hain aur aapko koi achha lagta hai, to ishkbazee ke bina aap kaise pata lagayenge ki woh bhi aapko pasand karta hai ya nahin.”
lekin is lekh mein hum yah charcha kareinge ki jab ek vyakti shaadi ka irada na hone par kisi se ishkbazee karta hai, tab uske kya anjam ho sakte hain.
“jab aap kisi ko apna jeevan-saathi banane ke baare mein soch rahe hain, tab to us par khaas dhyan dena theek hoga. lekin agar aisa nahin hai, tab kisi ke man mein ichha jagana aur ek din use mana kar dena, theek nahin hoga.”—deanna.
kuch log ishkbazee kyon karte hain?
kuch log apna aatm-vishvas badhane ke liye aisa karte hain. hailey naam ki ladki kehti hai, “kuch log jaante hain ki log un par aasani se fida ho jaate hain, isliye woh chahte hain ki log un par aur bhi dhyan dein.”
lekin agar aap jaan-boojhkar kisi ko yah jatate hain ki aapko usmein dilchaspi hai, jabki asal mein aisa nahin hai, to aap uske jazbaton se khilvad kar rahe hote hain. is tarah log aap par hi saval khade kareinge. pavitra shastra bible mein likha hai ki jismein samajh nahin hai vahi is tarah ke moorkhta ke kaam karke khushi paata hai.—neetivachan 15:21.
hailey theek hi kehti hai, “shuroo mein shaayad ishkbazee galat na lage, lekin iske anjam aksar bure hi hote hain.”
ishkbazee ke kya anjam ho sakte hain?
ishkbazee karne se aapka naam kharab ho sakta hai.
“jo ishkbazee karta hai, usmein asal mein aatm-vishvas ki kami hoti hai aur woh naasamajh hota hai. aapko pata chal jaata hai ki use aapmein koi dilchaspi nahin hai, woh bas aapka naajayaz faayda uthana chahti hai.”—jeremy.
bible kehti hai, ‘pyar sirf apne faayde ki nahin sochta.’—1 kurinthiyon 13:4, 5.
zara sochiye: aapki kin baaton ya kaamon se log aapko ishkbaz samajhne lag sakte hain?
aap jiske saath ishkbazee karte hain, uska aap dil dukhate hain.
“agar main kisi aise vyakti se milti hoon, jo ishkbazee karta rehta hai, to uske aas-paas rehne ka mera man hi nahin karta. aisa lagta hai ki woh mujhse sirf isliye baat karta hai ki main ek ladki hoon. jo log ishkbazee karte hain, unhein meri koi fikra nahin hoti, woh bas apne aapko khush karna chahte hain.”—jaqueline.
bible mein likha hai, “har koi apne faayde ki nahin balki doosre ke faayde ki sochta rahe.”—1 kurinthiyon 10:24.
zara sochiye: kya kabhi aapko kisi vyakti ki harkaton se laga hai ki use aapmein dilchaspi hai, jabki hakeekat mein aisa nahin tha? agar haan, to aapko baad mein kaisa laga? aap doosron ko yah dukh pahunchane se kaise bach sakte hain?
ishkbazee karne se aapke liye sachcha pyar paana mushkil ho sakta hai.
“ishkbazee karnevale se shaadi karne, yahaan tak ki dating karne ki sochna bhi nahin chahiye. agar koi bas yah naatak kar raha hai ki use mujhmein dilchaspi hai, to main use kaise jaan sakti hoon, kaise us par bharosa kar sakti hoon?”—olivia.
pavitra shastra bible mein daavid ne kaha, ‘main asliyat chhipanevalon se door rehta hoon.’—bhajan 26:4.
zara sochiye: jo ishkbazee karta hai, woh kis tarah ke vyakti ko pasand aayega? kya aap chaheinge ki ek ishkbaz aapmein dilchaspi le?