is jaankari ko chhod dein

mere mammi-paapa talak le rahe hain, main kya karoon?

mere mammi-paapa talak le rahe hain, main kya karoon?

aap kya kar sakte hain

apni chintaon ke baare mein baat keejiye. apne mammi-paapa ko bataiye ki unke is faisle ko lekar aap kitne dukhi hain ya uljhan mein hain. aapki baat sunkar, ho sakta hai woh aapko bata paayen ki unki zindagi mein kya chal raha hai aur shaayad isse aapki chinta thodi kam ho jaaye.

agar aapke mammi-paapa aapki madad nahin kar paa rahe hain, to shaayad aap ek samajhdar dost se khulkar baat kar sakte hain.—neetivachan 17:17.

sabse badhkar, hamara pita saman parmeshvar aapki baat sunne ke liye hardam taiyar rehta hai, kyonki woh ‘prarthnaon ka sunnevala’ parmeshvar hai. (bhajan 65:2) apni dil ki baat khulkar use bataiye, kyonki ‘use aapki parvah hai.’—1 patras 5:7.

aapko kya nahin karna chahiye

maa-baap ke talak se jude dard se ubarna maano toote huye haath ke dard se ubarne jaisa hai, haalaanki yah dardnak hai, magar samay ke guzarte aap theek ho jaayenge

man mein kadvahat mat paaliye. daniel batata hai, “mere mammi-paapa ne sirf apne baare mein socha. unhonne socha hi nahin ki hamara kya hoga aur hum par kya beetegi.”

agar daniel apne man mein pal rahe kadvahat ya gusse ko door nahin karta hai, to use kya nuksan ho sakta hai?—surag: neetivachan 29:22 padhiye.

haalaanki daniel ke mammi-paapa ne use thes pahunchayi hai, fir bhi unhein maaf karne ki koshish karna uske liye achha kyon hoga?—surag: ifisiyon 4:31, 32 padhiye.

khud ko saza mat deejiye. daini kehta hai, “mere mammi-paapa ke talak ke baad main dukhi aur nirash ho gaya tha. isse mujhe school mein mushkilein aayin aur main ek saal fail ho gaya. uske baad . . . main class mein bachchon ko hansane ke liye joker jaisi harkatein karne laga aur ladai-jhagdon mein bhi padne laga.”

aap kya sochte hain, class mein joker jaisa bartav karne se ya ladai-jhagdon mein padne se daini kya saabit karna chahta tha?

galatiyon 6:7 mein diya siddhaant kis tarah daini jaise naujavanon ki madad karega ki woh khud ko saza na dein?

jazbaton par lage zakhmon ko theek hone mein vakt lagta hai. vakt ke guzarte jaise-jaise aapki zindagi sambhalne lagegi, vaise-vaise aap behtar mehsoos karne lageinge.