yah kaanoon kyon diya gaya tha ki “aankh ke badle aankh” li jaaye?
shastra se javab
purane zamane mein parmeshvar ne israel raashtra ko moosa ke zariye bahot-se niyam diye the. unmein se ek niyam tha, “aankh ke badle aankh” li jaaye. yeeshu ne apne mashhoor updesh mein is niyam ka zikra kiya. (matti 5:38; nirgaman 21:24, 25; vyavasthavivran 19:21) is niyam ka matlab tha ki ek apradhi ko uske apradh ke hisab se saza di jaaye, na kam na zyada. *
yah niyam aise vyakti ke liye tha jo jaanboojhkar doosre vyakti ko nuksan pahunchata hai. aise vyakti ke liye moosa ke kaanoon mein likha tha, “agar usne doosre ki haddi todi hai to uski bhi haddi todi jaaye, usi tarah aankh ke badle aankh, daant ke badle daant ya usne jo bhi chot pahunchayi hai, vahi chot use di jaaye.”—laivyavyavastha 24:20.
“aankh ke badle aankh,” yah niyam kyon diya gaya tha?
is niyam se ek vyakti ko is baat ki chhoot nahin milti thi ki woh khud kisi ko saza de. iske bajay ek vyakti ko uske apradh ki saza dene ke liye nyayi thahraye gaye the. woh us vyakti ko uske apradh ke hisab se saza dete, na zyada na kam.
is niyam ka ek aur faayda tha. jo vyakti kisi ko nuksan pahunchane ki saazish rachta, yah niyam us vyakti ko aisa karne se rokta. parmeshvar ke kaanoon mein hi bataya tha ki yah kaise hota, “jab doosre log is maamle ke baare mein suneinge [ki apradhiyon ke saath kya hua] to woh dar jaayenge aur tumhare beech fir kabhi koi aisa bura kaam nahin karega.”—vyavasthavivran 19:20.
kya yah niyam ki “aankh ke badle aankh” li jaaye, maseehiyon par laagoo hota hai?
nahin. yah niyam maseehiyon par laagoo nahin hota. yah niyam moosa ke kaanoon ka hissa tha, lekin jab yeeshu ne apni jaan di to moosa ka kaanoon radd ho gaya.—romiyon 10:4.
lekin is niyam se hum jaan sakte hain ki parmeshvar ki kya soch hai. misal ke liye, parmeshvar chahta hai ki kisi ke saath bhi anyay na ho. (bhajan 89:14) is niyam se ek aur baat pata chalti hai. woh yah ki nyay ke maamle mein parmeshvar ka star kya hai. woh apradhiyon ko saza deta hai, magar sirf utni “jitni sahi hai.”—yirmayah 30:11.
is niyam ke baare mein kuch galatfhamiyaan
galatfhami: “aankh ke badle aankh,” yah niyam bahot kathor tha.
sachchai: yah niyam kathor nahin tha. aisa nahin tha ki nyayi yoon hi kisi ko saza de dete the. iske bajay woh poori jaanch-padtal karte the. woh dekhte the ki apradhi ne kin haalaat mein apradh kiya hai aur kya usne jaanboojhkar kiya hai. iske baad hi use saza di jaati thi. (nirgaman 21:28-30; ginti 35:22-25) is niyam ki vajah se nyayi ek apradhi ko jitni saza deni chahiye, usse kathor saza nahin dete.
galatfhami: yah niyam ek vyakti ko chhoot deta tha ki uske saath huye anyay ka woh badla le.
sachchai: moosa ke kaanoon mein likha tha, “tum apne kisi jaati bhaai se badla na lena, na hi uske khilaf dushmani paalna.” (laivyavyavastha 19:18) yah niyam logon ko badla lene ka badhava nahin deta tha. balki is baat ka badhava deta tha ki woh parmeshvar par aur nyay karne ka usne jo intazam thehraya hai, us par bharosa karein.—vyavasthavivran 32:35.
^ para. 1 laatini bhasha mein is niyam ko lex talionis kaha jaata hai. yah kaanoon purane zamane ke aur bhi samaaj mein maana jaata tha.