is jaankari ko chhod dein

kya kisi ne parmeshvar ko kabhi dekha hai?

kya kisi ne parmeshvar ko kabhi dekha hai?

shastra se javab

nahin, kisi ne bhi parmeshvar ko apni aankhon se kabhi nahin dekha hai. (nirgaman 33:20; yuhanna 1:18; 1 yuhanna 4:12) bible mein likha hai ki “parmeshvar aatma hai,” ek aisa roop jo insan ki aankhein nahin dekh saktin.—yuhanna 4:24; 1 timuthiyus 1:17.

swargdoot parmeshvar ko dekh sakte hain, kyonki woh bhi aatmik prani hain. (matti 18:10) iske alava, kuch insanon ko marne ke baad swarg mein zinda kiya jaayega. unhein aatmik shareer diya jaayega, tab woh bhi parmeshvar ko dekh sakeinge.—filippiyon 3:20, 21; 1 yuhanna 3:2.

hum parmeshvar ko kis tarah ‘dekh’ sakte hain

bible mein kabhi-kabhar ‘dekhne’ shabd ka istemal parmeshvar ke baare mein gyaan ya samajh haasil karne ke liye kiya jaata hai. (yashayah 6:10; yirmayah 5:21; yuhanna 9:39-41) jab ek vyakti parmeshvar ke baare mein samajh haasil karta hai aur uske gunon ko achhi tarah samajhta hai, tab woh parmeshvar par vishvas karne lagta hai. aur is maayne mein, woh parmeshvar ko apne ‘man ki aankhon’ se dekh paata hai. (ifisiyon 1:18) aisa vishvas paane ke liye bible kuch tareeke batati hai, jo ki neeche diye gaye hain.

  • parmeshvar ne jo bhi cheezen banayi hain, unhein dhyan se dekhkar hum parmeshvar ke kai gunon ke baare mein seekh sakte hain, jaise pyar, udarta, buddhi aur shakti. (romiyon 1:20) jab ayyoob ka dhyan srishti ki cheezon ki taraf dilaya gaya, tab use aisa laga ki maano parmeshvar uski aankhon ke saamne hai.—ayyoob 42:5.

  • bible ka adhyan karke parmeshvar ko jaaniye. bible hamein bharosa dilati hai, “yadi tu uski [parmeshvar] khoj mein rahe, to woh tujh ko milega.”—1 itihas 28:9; bhajan 119:2; yuhanna 17:3.

  • yeeshu ki zindagi se parmeshvar ke baare mein seekhiye. yeeshu jab dharti par tha, tab usne parmeshvar ki shakhsiyat ko bahot achhi tarah se darshaya. isliye woh yah keh saka, “jisne mujhe dekha hai usne pita ko bhi dekha hai.”—yuhanna 14:9.

  • yeeshu ne kaha, “sukhi hain woh jo dil ke saaf hain, kyonki woh parmeshvar ko dekheinge.” parmeshvar ki ichha ke mutabik zindagi jeene ki koshish keejiye, tab aap dekh paayenge ki parmeshvar aap par kitni aasheeshein barsata hai. aur jaise hamne pehle charcha ki thi ki kuch insan, jo parmeshvar ki marzee se zindagi jeete hain, unhein swarg mein zinda kiya jaayega. vahaan par sachmuch mein woh “parmeshvar ko dekheinge.”—matti 5:8; bhajan 11:7.

kya moosa, abraham aur doosre logon ne parmeshvar ko sachmuch mein nahin dekha tha?

bible ke kuch byauron ko padhte vakt aisa lagta hai ki insanon ne sachmuch mein parmeshvar ko apni aankhon se dekha hai. lekin aas-paas ki aaytein padhne par hamein pata chalta hai ki parmeshvar ne kisi swargdoot ke zariye insanon se baatcheet ki ya unhein darshan mein dikhai diya.

swargdoot.

purane zamane mein parmeshvar insanon ke paas swargdooton ko bhejta tha. ye swargdoot parmeshvar ki taraf se insanon se baat kiya karte the. (bhajan 103:20) misal ke liye, parmeshvar ne ek baar jalti jhaadiyon mein se moosa se baat ki. bible batati hai ki “moosa ne jo parmeshvar ki or niharne se darta tha apna munh dhaanp liya.” (nirgaman 3:4, 6) moosa ne parmeshvar ko sachmuch mein nahin dekha, kyonki aas-paas ki aayton ko padhne se pata chalta hai ki usne asal mein “parmeshvar ke doot” ko dekha tha.—nirgaman 3:2.

usi tarah se jab bible batati hai ki parmeshvar ne moosa se “aamne-saamne” baat ki, to iska yah matlab hai ki parmeshvar ne moosa se aise baatcheet ki, jaise ek kareebee dost se. (nirgaman 4:10, 11; 33:11) moosa ne sachmuch parmeshvar ka chehra nahin dekha tha, kyonki use “swargdooton ke zariye” parmeshvar se jaankari milti thi. (galatiyon 3:19; preshiton 7:53) iske baavjood, moosa ka vishvas itna mazboot tha ki bible uske baare mein batati hai, “woh us adrishya parmeshvar ko maano dekhta hua data raha.”—ibraniyon 11:27.

jis tarah parmeshvar ne moosa se baat ki, usi tarah parmeshvar ne abraham se bhi swargdooton ke zariye baat ki. maana ki oopri taur par is ghatna ko padhne se aisa lag sakta hai ki abraham ne sachmuch mein parmeshvar ko dekha. (utpatti 18:1, 33) lekin, aas-paas ki aayton ko padhne par hum jaan paayenge ki jo “teen purush” abraham se milne aaye the, woh darasal parmeshvar ki taraf se bheje gaye swargdoot the. abraham jaan gaya ki woh parmeshvar ki taraf se aaye the. isliye usne swargdooton se is tarah baat ki, maano woh parmeshvar se baat kar raha ho.—utpatti 18:2, 3, 22, 32; 19:1.

darshan.

parmeshvar insanon ko darshan ke zariye bhi dikhayi deta tha. misal ke liye, jab bible batati hai ki moosa aur doosre israeliyon ne “parmeshvar ko dekha,” to asal mein unhonne israel ke parmeshvar ko darshan mein dekha. (nirgaman 24:9-11, a new hindi translation) usi tarah bible mein kuch jagahon par likha hai ki bhavishyavaktaon ne yahova ko “dekha.” (yashayah 6:1; daaniyel 7:9; aamos 9:1) in bhavishyavaktaon ke kisse mein, aas-paas ki aaytein padhne par pata chalta hai ki unhein parmeshvar ka darshan mila tha, na ki unhonne seedhe-seedhe parmeshvar ko dekha tha.—yashayah 1:1; daaniyel 7:2; aamos 1:1.