kya pavitra shastra samlaingik shaadi ke baare mein kuch batata hai?
shastra se javab
sarkaron ke niyam-kaanoon laagoo hone se sadiyon pehle hamare sirjanhar ne shaadi se jude niyam banaye the. bible ki pehli kitab kehti hai, “is kaaran purush apne maata-pita ko chhodkar apni patni se mila rahega, aur woh ek hi tan bane raheinge.” (utpatti 2:24) vine’s expository dictionary of biblical words ke mutabik ibrani shabd “patni” ka istemal aksar “stri” ke liye kiya gaya hai. yeeshu ne is baat ko pukhta kiya ki sirf “nar aur naari” ko hi shaadi ke bandhan mein bandhna chahiye.—matti 19:4.
parmeshvar ne shuroo se hi shaadi ka intazam isi maksad se thehraya tha ki ek stri-purush kareebee rishte mein hamesha bandhe rahein. aadmi aur aurat ki rachna isi tarah hui hai ki woh ek-doosre ke madadgar banein taaki woh ek-doosre ki jazbati aur shaareerik zarooratein poori kar sakein aur bachche paida karein.