swargdoot kaun hain aur woh kaise hote hain
shastra se javab
swargdoot adrishya prani hain jo insanon se kahin zyada shaktishali aur kaabil hain. (2 patras 2:11) ye swarg mein rehte hain jo ki hamari duniya se bilkul alag hai. ise hum insan apni aankhon se nahin dekh sakte. (1 raja 8:27; yuhanna 6:38) isliye in praniyon ko swargdoot kaha jaata hai.—1 raja 22:21; bhajan 18:10.
swargdooton ki shurooat kaise hui?
bible mein yeeshu ko “saari srishti mein pehlautha” kaha gaya hai. usi ke zariye parmeshvar ne swargdooton ki srishti ki. bible batati hai, “[yeeshu] ke zariye swarg mein aur dharti par baaki sab cheezen sirji gayin, jo dikhayi deti hain aur jo dikhayi nahin detin.” dikhayi na denevali srishti mein swargdoot bhi shaamil hain. (kulussiyon 1:13-17) swargdoot shaadi nahin karte aur na hi unhein bachche paida karne ki kaabileeyat ke saath banaya gaya hai. (markus 12:25) iske bajay, sachche parmeshvar ke harek “bete” ki srishti ki gayi hai.—ayyoob 1:6.
swargdooton ki srishti prithvi ke banaye jaane se bahot pehle ki gayi thi. isliye jab parmeshvar ne dharti ki ninv daali to swargdooton ne “jayjaykaar ki.”—ayyoob 38:4-7.
swargdooton ki ginti kitni hai?
bible nahin batati ki unki ginti theek kitni hai magar yah itna zaroor batati hai ki unki ginti bahot hai. misal ke liye, preshit yuhanna ko ek darshan diya gaya tha jismein usne laakhon-karodon swargdooton ko dekha.—prakashitvakya 5:11.
kya swargdooton ka apna ek naam aur ek alag shakhsiyat hai?
ji haan. bible do swargdooton ke naam batati hai, ek hai meekael aur doosra hai jibrail. (daaniyel 12:1; luka 1:26) * doosre swargdooton ne yah sweekar kiya ki unka ek naam hai par unhonne apna naam nahin bataya.—utpatti 32:29; nyayiyon 13:17, 18.
har swargdoot ki apni ek alag shakhsiyat hai. unki apni bhasha bhi hai jismein woh aapas mein baatcheet karte hain. (1 kurinthiyon 13:1) unmein sochne-parakhne ki shakti hai aur woh parmeshvar ki mahima ke liye geet banakar use gaate hain. (luka 2:13, 14) unke paas yah chunne ki aazadi hai ki woh sahi kaam kareinge ya galat. yah hamein kaise pata? kyonki jab shaitan ne parmeshvar se bagavat ki to kuch swargdooton ne shaitan ka saath dekar paap kiya aur uski taraf ho gaye.—matti 25:41; 2 patras 2:4.
kya swargdooton ka alag-alag ohda hai?
ji haan. pradhan swargdoot meekael doosre swargdooton ke mukable sabse zyada shaktishali hai aur uske paas sabse zyada adhikar hai. (yahooda 9; prakashitvakya 12:7) saarap uncha ohda rakhnevale swargdoot hain jo yahova ki raajgaddi ke paas khade rehte hain. (yashayah 6:2, 6) karoob bhi uncha ohda rakhnevale swargdoot hain jinhein khaas zimmedariyaan di jaati hain. misal ke liye, jab aadam aur havva ko adan ke baag se khaded diya gaya, tab baag ki taraf jaanevale raaste par karoobon ko pehra dene ke liye tainat kiya gaya tha.—utpatti 3:23, 24.
kya swargdoot logon ki madad karte hain?
ji haan. parmeshvar vafadar swargdooton ke zariye aaj apne logon ki madad karta hai.
parmeshvar swargdooton ke zariye apne sevkon ko raah dikhata hai taaki woh parmeshvar ke raaj ki khushkhabri suna sakein. (prakashitvakya 14:6, 7) is madad se prachar karnevale uske sevak aur khushkhabri sunnevale, donon ko faayda hota hai.—preshiton 8:26, 27.
swargdooton ke zariye maseehi mandli ko dusht logon ke bure asar se door rakha jaata hai.—matti 13:49.
swargdoot, parmeshvar ke vafadar logon ka maargdarshan karte hain aur unki hifazat karte hain.—bhajan 34:7; 91:10, 11; ibraniyon 1:7, 14.
bahot jald swargdoot, yeeshu maseeh ke saath milkar saari buraiyon ko mita deinge aur insanon ko raahat pahunchayenge.—2 thisslunikiyon 1:6-8.
kya hammein se harek ke liye ek khaas swargdoot thehraya gaya hai?
yah sach hai ki swargdoot parmeshvar ke sevkon ki madad karte hain ki woh parmeshvar ke saath apna rishta banaye rakhein. lekin iska yah matlab nahin ki parmeshvar apne har sevak ke liye ek khaas swargdoot thehrata hai. * (matti 18:10) swargdoot parmeshvar ke sevkon ko har aazmaish ya pareeksha se nahin bachate. lekin bible batati hai ki parmeshvar apne sevkon ko us pareeksha ka saamna karne ki buddhi deta hai aur dheeraj dharne mein madad karta hai. is tarah woh unke liye pareeksha se ‘nikalne ka raasta nikaalta hai.’—1 kurinthiyon 10:12, 13; yakub 1:2-5.
swargdooton ke baare mein galatfehmiyaan
galatfehmi: sabhi swargdoot achhe hain.
sachchai: bible “shaktishali dusht dooton” ka zikra karti hai aur un “swargdooton” ke baare mein batati hai “jinhonne paap kiya tha.” (ifisiyon 6:12; 2 patras 2:4) ye dusht swargdoot, shaitan ke saath mil gaye aur parmeshvar ke khilaf ho gaye.
galatfehmi: swargdooton ke paas amar jeevan hai.
sachchai: sabhi dusht swargdooton ka naash kar diya jaayega jinmein shaitan bhi ek hai.—yahooda 6.
galatfehmi: jab log marte hain to woh swargdoot ban jaate hain.
sachchai: jab log marte hain, to woh swargdoot nahin bante. swargdooton ko to parmeshvar ne alag se racha hai. (kulussiyon 1:16) jin logon ko swarg mein zinda kiya jaata hai unhein parmeshvar tohfe mein amar jeevan deta hai. (1 kurinthiyon 15:53, 54) unka ohda swargdooton se kahin uncha hota hai.—1 kurinthiyon 6:3.
galatfehmi: swargdoot insanon ki seva ke liye hote hain.
sachchai: swargdoot parmeshvar ki aagya maante hain, na ki hum insanon ki. (bhajan 103:20, 21) yahaan tak ki yeeshu ne bhi kaha ki woh madad ke liye parmeshvar se binti karega, swargdooton se nahin.—matti 26:53.
galatfehmi: hum swargdooton se madad ke liye prarthna kar sakte hain.
sachchai: prarthna karna, upasna karne ka ek tareeka hai aur hamari upasna ka hakdar sirf yahova parmeshvar hai. (prakashitvakya 19:10) isliye hamein sirf yahova se prarthna karni chahiye aur woh bhi yeeshu ke zariye.—yuhanna 14:6.
^ para. 4 bible ke kuch anuvadon mein yashayah 14:12 mein shabd “lucifer” istemal kiya gaya hai. kuch logon ka maanna hai ki lucifer, us swargdoot ka naam hai jo shaitan ban gaya tha. lekin iske mool ibrani shabd ka matlab hai, “chamakta taara.” is aayat ke aas-paas ki aayton se pata chalta hai ki yah shabd shaitan ke liye nahin balki baibilon saamrajya ke raajaon ke liye istemal hua hai jinhein parmeshvar unke ghamand ke liye neecha dikha raha tha. (yashayah 14:4, 13-20) baibilon ki haar ke baad uska mazak udane ke liye hi use ‘chamakta taara’ kaha gaya hai.
^ para. 13 ek baar ek swargdoot ne patras ko jail se riha karvaya tha. is byaure ko padhkar kuch log sochte hain ki patras ke liye ek khaas swargdoot thehraya gaya tha. (preshiton 12:6-16) lekin jab chelon ne kaha ki darvaze par “[patras ka] swargdoot” hoga to woh is galatfehmi mein the ki patras ki taraf se koi swargdoot sandesh lekar aaya hoga. magar asal mein patras khud darvaze par khada tha.